Friday, February 10, 2012

***Kismat Mein Hona Tha Juda***


Aaj Rote Hein Teri Yaad Mein,
Iske Siwa Hum Kya Karein,
Kismat Mein Hona Tha Juda,
Ab Tujhse Gila Hum Kya Karein,

Dua'on Mein Tha Maanga Tujhe,
Paa Kar Phir Khoya Tujhe,
Maange Khuda Se Ab Aur Kya,
Koyi Fariyaad Hum Kya Karein,

Jab Tak Thi Teri Tasveer Dil Mein,
Bahut Pyara Tha Dil Ka Aaina,,
Jab Tu Hi Nahi Hai Is Mein Sanam,
To Is Aaina Ka Hum Kya Karein,

Aaz Rote Hein Teri Yaad Mein,
Iske Siva Hum Kya Karein,

AVTAR RAYAT

No comments:

Post a Comment