Sunday, July 22, 2012

***Shukria Dost***


Shukria Dost...
Aapne Taareef Ki Hai Dil Se,
Humari Itni Hasti Kahan,
Ye To Aapki Mohabat Hai...
Warna...Hum Is Kaabil Kahan...!!!

AVTAR RAYAT

***Aaj Phir Dekhi Humne Un Raah Ki Virania'n***


Aye Dost...
Aaj Phir Dekhi Humne Un Raah Ki Virania'n,
Jaha'n Aapke Saath Kaati Thi Zindgania'n,
Guzar Gaya Wo Waqt Bichhad Gaye Hum...
Sath Reh Gayi Bas..Un Lamho'n Ki Kahania'n...!!!

AVTAR RAYAT

***Meri Ek Soch Meri Zindagi***


Meri Ek Soch Meri Zindagi Ka Khwaab Hai,
Jiski Na Koyi Manzil Raasta Bhi Kharab Hai,
Mere Chehre Ki Hansi Ko Dekh Kar...
Koyi Andaza Na Lagana Mere Dost...Kyoki...
Mere Dil Ka Har Panna Dard Ki Kitaab Hai...!!!

AVTAR RAYAT

***Use Bhi Maza Chakh Lene Deejiye***


Aye Dost...
Use Bhi Maza Chakh Lene Deejiye...
Ghairon Ki Mehfil Ka,
Itni Chahat Ke Baad Jo Humare Na Ho Sake,
Wo Kisi Aur Ke Kya Honge...!!!

AVTAR RAYAT

***Humari Aankhon Mein***


Humari Aankhon Mein...
Aansu Bankar Behne Wale,
Apni Aankhon Se Tera...
Deedar To Kar Hi Sakte Hein,

Jism Mera Majboor Sahi....
Rooh To Majboor Nahi....
Hum Tumhein Pa To Nahi Sakte..Par...
Pyar To Kar Hi Sakte Hein...!!!

AVTAR RAYAT

***Pyar Ke Phool***

Pyar Ke Phool Mere Dil Mein Khilaane Waale,
Laut Ke Aa Jaa Meri Needein Churaane Waale,
Koyi Bhi Ho Kaam..Aapka Naam Lekar Karte Hein..
Isi Liye Humein Deewana Kehte Hein Zamaane Wale...!!!

AVTAR RAYAT

***Aapse Mile Hein Koyi Ittefaaq Nahi Hai***


Hum Aapse Mile Hein Koyi Ittefaaq Nahi Hai,
Mil Ke Tumhein Chhod Dein Koyi Mazaaq Nahi Hai,
Agar Hota Aapse Pyar Ek Had Tak To Chhod Dete,
Par Humara Aapse Pyar Ka Koyi Hisaab Nahi Hai...!!!

AVTAR RAYAT

Neend Aankhon Mein Nahin,


Neend Aankho'n Mein Nahin, Khwaab Kho Gaye,
Tanha To The Hi, Tere Bin Kuchh Aur Ho Gaye,
Dil Bhi Tadap Utha, Zubaan Bhi Ladkhadaane Lagi,
Teri Yaad Mein..Do Bache Aansu Bhi Chupke Se Beh Gaye...!!!

AVTAR RAYAT

***Mere Dil Mein Ghar Bana Ke***


Mere Dil Mein Ghar Bana Ke Wo...
Jaane Kaun Sa Imtehaan Lete Hein,
Na Khud Us Mein Rehte Hein...
Na Kisi Aur Ko Rehne Dete Hein...!!!

AVTAR RAYAT

***Aye Mere Dil Koyi Tujh Sa Nadaan Nahi***


Aye Mere Dil Koyi Tujh Sa Nadaan Nahi,
Tu Use Kyo Chaahta Hai Jiski Chaahat Mein Jaan Nahi,
Teri Deewangi Humari Samajh Se Baahar Hai,
Jo Tootne Ke Baad Bhi Keh Raha Hai Koyi Nuksaan Nahi...!!!

AVTAR RAYAT

***Hum Jaan.te Hein Dost***


Aye Dost...
Hum Jaan.te Hein...
Tumhein Kya Gam Hai...
Aap Jinhein Chahte Hein....
Shayad Uske Dil Mein
Aapke Liye Chaahat Kam Hai...!!!

AVTAR RAYAT

***O Sanam...Hum Maante Hein***


O Sanam...Hum Maante Hein...
Ab Aap Pe Haq Humara Nahi,
Magar Sach Ye Bhi Hai Ki...
Bin Aapke Guzaara Nahi,
Hum Jeeyein Bhi To...Ab...
Kis Ke Aasre Jeeyein O Jaan,
Is Zindagi Mein Aapke Siwa...
Humara Koyi Sahaara Bhi To Nahi...!!!

AVTAR RAYAT

***Mere Mehboob Ko Jis Din***


Aye Dost...
Mere Mehboob Ko Jis Din...
Khud Aap Dekhoge,
Hosh Ud Jayeinge..
Jab Husno-Shabaab Dekhoge,
Dekhi Na Hogi Itni Khoobsurti...
Kisi Bhi Gulistaan Mein...
Raat Ki To Baar Chhodiye...
Din Mein Bhi Khwaab Dekhoge...!!!

AVTAR RAYAT

***Hum Jaante To Hein..Aapke Jazbaat***

Aye Dost...
Hum Jaante To Hein..Aapke Jazbaat...
Par Kya Karein...Aapke Nazdeek Nahi,
Dil Ki Baato'n Ko Dil Mein Hi Rakhiyega,
Zamaane Ki Neeyat Theek Nahi...!!!

AVTAR RAYAT

***Hum Jaante To Hein..Aapke Jazbaat***

Aye Dost...
Hum Jaante To Hein..Aapke Jazbaat...
Par Kya Karein...Aapke Nazdeek Nahi,
Dil Ki Baato'n Ko Dil Mein Hi Rakhiyega,
Zamaane Ki Neeyat Theek Nahi...!!!

AVTAR RAYAT

***Aye Dost...Hum Se Bachkar Rehiyega***


Aye Dost...Hum Se Bachkar Rehiyega,
Hum Phoolo'n Se Khushbu Chura Liya Karte Hein,
Saamne Waale Ko Pata Bhi Nahi Chalta...
Aur Hum...Use Apna Bana Liya Karte Hein...!!!

AVTAR RAYAT

***Jab Bhi Hum Aksar***


Jab Bhi Hum Aksar...
Tanha Waqt Bitaate Hein,
Career Ke Chakkar Mein...
Apne Doston Ko Bhool Jaate Hein,
Bas..Ek Wahi Pal Hein Jo...
Dosti Ka Ehsaas Dilaate Hein,
Aur Aankon Ko Namm...
Hoton Pe Muskaan Chhod Jaate Hein...!!!

AVTAR RAYAT

**Main Udaas Jaroor Hoon***


Aye Dost...
Main Udaas Jaroor Hoon..Par Tujh Se Naraz Nahi,
Aap Mere Dil Mein Bhi Ho...Par...Tere Paas Nahi,
Dunia Mein Kisi Bhi Cheez Ki Aaj Mujhe Kami Nahi,
Par..Sach To Ye Hai..Ek Tere Siwa Kuch Bhi Khaas Nahi..!!!

AVTAR RAYAT

***Humne To Apne Aazmye Hein***


Aye Dost...Gair To Gair...
Humne To Apne Aazmye Hein,
Un Ka Hausla To Dekhiye...
Jinhein Jeene Ke Tarike Bataaye,
Un Ke Hazaaron Sitam Uthaaye Hein,
Aur Ye Sab..Humne Tab Jaana...
Jab Hum Roshni Mein Aaye Hein...!!!

AVTAR RAYAT

***Andhere Mein Rasta Banaana Mushkil Hota Hai***

Aye Dost....
Andhere Mein Rasta Banaana Mushkil Hota Hai,
Tufaan Mein Deepak Jalaana Mushkil Hota Hai,
Dunia Mein Kisi Se...Dosti Karna Mushkil Nahi,
Magar Ise Dil Se Nibhaana Bada Mushkil Hota Hai...!!!

AVTAR RAYAT

***Aaj Humein Saans Ruk-Ruk Ke Aa Rahi Hai***


Dosto...
Aaj Humein Saans Ruk-Ruk Ke Aa Rahi Hai,
Kuchh Na Kuchh Qyaamat Hone Waali Hai,
Ya To Mujhse Bahut Door Ja Raha Hai Koyi,
Ya Kisi Naye Dost Se Mulaqaat Hone Wali Hai...!!!

AVTAR RAYAT

***Kashma-Kash Zindagi Mein***


Kashma-Kash Zindagi Mein...
Lamba Safar Likha Hai,
Manzil Ka To Pata Nahi...Bas...
Ladkhadana Shayad Likha Hai,
Mil Jaye Wo Humsafar...
Humnasheen...Suhana,
Jiska Bachpan Se In Haathon Pe..
Uski Manzil Ka Thikaana Likha Hai...!!!

AVTAR RAYAT

***Tumhari Berukhi***

O Sangdil...
Tumhari Berukhi Ne Kahin Ka Na Rakha Humein,
Dil Bhi Diya...Phir Bhi Na Kareeb Rakha Humein,
Hum To Andheron Mein Bhi..Chiraag Jalaate Rahe,
Tumne Ek Baar Bhi Na...Mudkar Dekha Humein...!!!

AVTAR RAYAT

Thursday, July 19, 2012

***Dil Mera Kho Gaya Kahi'n***


Dil Mera Kho Gaya Kahi'n,
Mujhe Pyar To Nahi, Ho Gaya, Kahin,
Dil To Hai, Abhi Paas Humare,
Par Jeete Hein...Kisi Aur Ke Sahaare,

Kaun Hai...Hum Anjaan Hein,
Kaise Poocchein...Naadaan Hein,
Dikhte Hein Wo Mujhe Har-Roz,
Hum Kho Dete Hein Apne Hosh,

Bas Dekhte Reh Jaate Hein,
Kuchh Keh Nahi Paate Hein,
Gale Mein Atki Hai Jaan Humari
Kab Hogi Unse Pahchaan Humari,

Kaash Wo Bhi Humein Dekhte Hote,
Humare Jaise Hi Sochte Hote,
Milna Wo Bhi Chahte Ho'n Humse,
Keh Dein Ji Rahe Hein Tere Dum Se...!!!

AVTAR RAYAT

***Kaafi Samay Pehle Ek Aavishkaar Huya Tha***


Dosto...
Kaafi Samay Pehle Ek Aavishkaar Huya Tha,
Dunia Ne Isko "TIME-PAAS" Ka Naam Diya Tha,

Is Mein Ishq-Wafa-Pyar Kuchh Hota Nahi,
Kyoki Ye Time Paas Hai Aur Kuchh Nahi,

Apne Dosto'n Se Hum Kehna Chaaheinge,
Time Pass Ki Aur Dhayan Dilaana Chaaheinge,

Apne-Apne Rishto'n Par Jara Gaur Karna,
Kahi'n Aapke Rishte Time-Paas To Nahi,

Agar Aapke Rishte Time Paas Hai To
Un Rishto'n Ko Dil Se Lagaana Nahi,

Avtar To Aap Logo'n Ko Agaah Hi Kar Sakta Hai,
Iske Ilaawa Aur Kuchh Kar Sakta Nahi...!!!

AVTAR RAYAT

***Aapka Pyar Sach Mein Bewafa Hai***


Dosto....
Aapka Pyar Sach Mein Bewafa Hai...
Bhagwan Na Kare Kabhi Aisa Ho,
Ye Aapki Soch Bhi Ho Sakti Hai...
Zaroori Nahi Ke Wo Waisa Ho,

Acchha Hoga Apni Soch Badal Dijiye...
Khule Dilse Samjhne Ki Koshish Kijiye,
Bewafa Lage To Dil Se Nikaal Dijiye...
Uske Liye Na Zindagi Barbad Kijiye,

Shayad Aapke Liye Wo Bana Nahi,
Gehraayi Se Is Baare Jaan Lijiye
Agar Aapke Liye Wo Bana Nahi...
To Aapse Mohabat Kabhi Karega Nahi,

Agar Aapko Us Ne Dhokha Diya,
Bagair Soche Dil Se Hata Dijiye,
Hote Rehte Hein Aise Bahut Haadse...
Ise Haadsa Samjh Kar Bhula Dijiye,

Waqt Na Bekaar Mein Kharaab Kijiye...
Jo Acchha Lage Dil Mein Utaar Lijiye,
Mohabat Ki Dunia Mein Koyi Kami Nahi...
Kisi Aur Ko Apna Bana Lijiye...!!!

AVTAR RAYAT

***Aaa Meri Zindagi..Mere Paas Aaa***


Aaa Meri Zindagi..Mere Paas Aaa...
Tujhe Aankhon Ka Noor Bana Loo'n,
Zannat Ki Saari Khushia.....
Tere Kadmo'n Mein Bichha Doo'n,

Mere Siwa Na Dekhe Koyi...
Tujhe Seene Mein Chhupa Loo'n,
Tere Is Jiwan Ko Main...
Aaa Phoolon Se Mahka Doo'n,

Tera Saath Mila Hai Jab Se...
Khuda Ka Shukar Manaayu,
Jeena Hai Ab Tere Liye...
Janmo'n Tak Saath Nibhaayu,

Aaa Meri Zindagi...Mere Paas Aaa...
Tujhe Aankho'n Ka Noor Bana Loo'n,
Zannat Ki Saari Khushia Ko...
Tere Kadmo'n Mein Bichha Doo'n...!!!

AVTAR RAYAT

***Jaa To Rahe Ho Zindagi Se Humari***


Jaa To Rahe Ho Zindagi Se Humari,
Par Humein Dilse Kaise Bhulaayoge,

Aayegi Jab Bhi Kabhi Yaad Humari,
Baith Kar Akele Mein Aansu Bahaayoge,

Gar Chaahoge Kabhi Milna Humse,
To Dunia Mein Dhoondte Reh Jaayoge,

Poochhega Gar Zamaana Mere Baare Mein,
To Aap Galtia'n Meri Hi Bataayoge,

Honge To Sabhi Aapki Mehfil Mein,
Magar Un Sab Mein Humari Jhalak Nahi Paayoge,

Maana Ke Mil Jaayega Tumhein Doosra Pyar,
Par Mera Jaisa Chaahne Waala Kahan Se Laayoge...!!!

Beshak Apne Ko Bahut Wafadaar Keh Lo,
Meri Nazar Mein Hamesha Dagabaz Kehlaoge...!!!
O Sang Dil...Dagabaaz Kehlaayoge...!!!

AVTAR RAYAT

***Gar Parda Utha To Dunia Mein Rusvayi Hogi***


Aye Dost...
Gar Parda Utha To Dunia Mein Rusvayi Hogi...
Koyi Jaan Bhoojh Ke Chehra Chhupaata Nahi Hai
Kayi Baar Hasrto'n Ko Bhi Dabaana Padta Hai...
Koyi Jaan-Boojh Ke Kisi Ko Jalaata Nahi Hai...!!!

AVTAR RAYAT

Jab Tak Hai Dosti


Dosto...
Jab Tak Hai Dosti,
Ban Ke Dost Hi Raho,
Par...Kisi Bewafa Ke Liye
Waqt Barbaad Na Karo,
Pyar Usi Se Karo,
Jo Tumhein Saccha Pyar Kare,
Warna Apni Anmol Zindagi,
Barbaad Na Karo...!!!

AVTAR RAYAT

***Wo Bhi Waqt Tha..Aye Dost Mere***


Wo Bhi Waqt Tha..Aye Dost Mere,
Jab Zindagi Ko Khoob..Jiya Tha Humne,
Guzre Waqt Mein Kisike Pyar Ki Kami,
Mehsoos Na Ki Thi.....Kabhi Humne,

Kuch Armaan Humne Bhi Sajaye The,
Bahut Se Raaz Dil Mein Chhupaye The,
Mile To Kayi..Lekin Izhaar Na Kar Paaye,
Aaj Us Nakami Ka Afsos Sataane Laga Hai,

Ek Baar Mila Bhi Tha Mauka Humein...
Lekin..Jaane Wo Kyo Hum Gawa Baithe,
Usne Khud...Pyar Ka Izhaar Kiya Tha,
Lekin Hum Uske Pyar Ko Nakaar Baithe,

Wo Waqt Bhi...Pyar Ke Bagair Hi Tha,
Aaj Use Khone Ka Dard Rulaane Laga Hai,
Zindagi Ko To Khoob Jiya Hai Humne...
Par...Ab Ye Akelapan Sataane Laga Hai,
Aye Dost...
Par...Ab Ye Akelapan Sataane Laga Hai...!!!


AVTAR RAYAT

***Mere Mehboob Ko Jis Din***


Aye Dost...
Mere Mehboob Ko Jis Din...
Khud Aap Dekhoge,
Hosh Ud Jayeinge..
Jab Husno-Shabaab Dekhoge,
Dekhi Na Hogi Itni Khoobsurti...
Kisi Bhi Gulistaan Mein...
Raat Ki To Baar Chhodiye...
Din Mein Bhi Khwaab Dekhoge...!!!

AVTAR RAYAT

***Mohabat Karke Apne Ko Saza Di Humne***


Mohabat Karke Apne Ko Saza Di Humne,
Un Ki Har Baat Ab Dil Se Bhula Di Humne,

Ek-Ek Phool Humein Bahut Yaad Aaya,
Jab Pyar Ki Nishaania Jala Di Humne,

Jis Baat Pe Wo Humse Rooth Jaate The,
Wo Baat Kab Ki Dil Se Hata Di Humne,

Jaane Kyo Aaj Phir Wo Bahut Yaad Aaya
Dil Se Bahut Si Unhein Dua Di Humne,

Baat To Hai Us Mein Jaroor Khaas Dosto
Jis Par Har Khushi Apni Luta Di Humne...!!!

AVTAR RAYAT

***Hum Jaan.te Hein Dost***

Hum Jaan.te Hein Dost...
Tumhein Kya Gam Hai...
Aap Jinhein Chahte Hein....
Shayad Unke Dil Mein
Aapke Liye Chaahat Kam Hai...!!!

AVTAR RAYAT

***Paas Reh Ke Bhi Aap Na Samjhe Mujhe***


Paas Reh Ke Bhi Aap Na Samjhe Mujhe,
Is Baat Ka Dukh Hai Shikwa Nahi Mujhe,

Hum Bewafaayi Ka Tumhein Ilzaam Nahi Dete,
Par Aapne Dil Se Bhi To Nahi Chaaha Mujhe,

Kyo Patthar Samajh Ke Paon Se Thokar Laga Di,
Afsos Is baat Ka Hai..Aapne Parkha Hi Nahi Mujhe,

Kya Umedein Baandh Kar Aaye The Aapke Saamne,
Aapne To Aankh Bar Ke Bhi Na Dekha Mujhe...!!!

AVTAR RAYAT

***Humse Ziaada Tumhein Koyi Chaahe To***


Humse Ziaada Tumhein Koyi Chaahe To,
Mere Haatho'n Se Apna Haath Chhuda Lena,
Mil Jaaye Agar Humse Bad-Kar Koyi Diwaana,
Mere Kandhe Se Phir Apna Sar Hata Lena,

Sath Jeene-Marne Ke Bhoolu Agar Waade,
Tod Dena Pyar Ki Un Sab Zanjeero'n Ko,
Phir Jo Bhi Aapke Dil Mein Aaye Wo Karna,
Mita Dena Haatho'n Se Mere Pyar Ki Lakeerein Ko,

Mere Sath Jo Dekhe...Un Khwabon Ko,
Aur..Apne Dil Se Meri Tasveer Mita Dena,
Shart Ye Hai...Humse Jiyada Koyi Nabhaaye,
Humse Ziaada Tumhein Koyi Chaahe....To...!!!

AVTAR RAYAT

***Hum Nahi Jaante Ke Wafa Kya Hai***


Dosto...Hum Nahi Jaante Ke Wafa Kya Hai,
Phir Bhi Zindagi Se Bahut Kuchh Seekha Hai,

Wafa Ke Naam Se...Hum Ghabraate Hein...
Gam Saamne Aa Jaata Hai..Jidhar Bhi Jaate Hein,

Kyoki...Wafa Ke Naam Par Kitne Gunaah Hote Hein...
Ye Unse Poochhiye Jo Tabaah Hote Hein...!!!

AVTAR RAYAT

***Jabrdasti Love-Marriage Karke***


Dosto.....

Jabrdasti Love-Marriage Karke...
Maa-Baap Ko Na Badnaam Karo,
Khaan-Daan Ki Izzat Ko Samjho...
Rishton Ka Na...Katle-Aam Karo,

Hai Dil Mein Aisi Soch Koyi To,
Chhupane Se Kya Fayda Hai
Samay Dekh Kar Unke Aage,
Khul Ke Ye Sab Vyaan Karo,

Mohabat Us Se Badi Nahi Hai,
Unki Soch Ka Bhi Dhyaan Karo,
Jo Kareinge Wo..Acchha Hi Hoga
Apne Man Ko Na Pareshaan Karo,

Paala-Posa Jinho Ne Janam Se,
Unka Bhi Koyi Haq Ban.ta Hai,
Karo Chaahe Koyi Bhi Man-Maani,
Unki Pasand Ka Bhi Dhyaan Karo,

Maa-Baap Ka Dil Dukha Kar,
Sukh-Chain Kahin Na Paayoge,
Unse Lo Sada Khushio Ka Ashibaad,
Unki Har Baat Ka Sammaan Karo...!!!

AVTAR RAYAT

***Dunia Mein Nahi Mujhe***


Dunia Mein Nahi Mujhe...Tumsa Koyi Pyara,
Aaa Jaayo Sanam...Udaas Hai Jiwan Humara,

Ro Ro Ke Thak Gayi Hein..Ye Aankhein Humari,
Tum Chhup Gaye Kaha'n...Leke Dil Hamaara,

Kyo Door Ho Humse...Humein Kuchh To Bataayo,,
Kya Khata Ho Gayi...Kya Kasoor Hai Humara,

Dilka Chain Le Gaye..Le Gaye Qaraar Humara,
Is Zindagi Ko Hai Bas...Ab Tumhara Hi Sahara,

Dil Keh Raha Hai Ab...De Do Baaho'n Ka Sahara,
Dum Bhi Chaahe Nikal Jaaye..Par Pahlu Ho Tumhara...!!!

AVTAR RAYAT Avi

***Lover Se Shaadi Karne Ke Liye***


Dosto....Log...

Lover Ke Liye Maa-Baap Se Jhoot Bolte Hein,
Maa-Baap Ke Liye Lover Se Kyo Nahi,

Lover Se Shaadi Karne Ke Liye
Maa-Baap Ko Chhod Dete Hein....
Par Maa-Baap Ke Liye Lover Ko Kyo Nahi,

Lover Ko Poochte Hein Khaana Khaya Ya Nahi...
Aur...Kya Khaya Khaane Mein...
Par Yahi Baat Maa Baap Se Poochte Kyo Nahi...

Lover Ki Ek Kasam Se Buri Se Buri Latein Bhi
Chhoot Jaati Hein...
Par Maa-Baap Ke Baar-Baar Kehne Par Bhi Kyo Nahi...!!!

!!!!!!...SOCHIYE...!!!!!!...????

AVTAR RAYAT

***Ghar Mein Zaroor Laayiye...Beti Gareeb Ki***


Rehiye Kisi Bhi Haal Mein...Charcha Na Kijiye,
Kisi Ka Bhi Dunia Mein...Na Dil Dukhne Dijiye

Ghar Mein Zaroor Laayiye...Beti Gareeb Ki,
Lekin..Us Gareeb Se...Sauda Na Kijiiye,

Gareeb Baccho'n Ko Jisse...Milti Ho'n Rotia'n,
Aisi Kisi Zameen Par.....Kabza Na Kijjiye,

Jo Jahan Aasmrath Hein...Baniye Sahara Unka,
Dunia Mein Be-sahaaron Ka Sahara Bana Kijiye...!!!

AVTAR RAYAT

***Pehle Tujhko Dekha***


Aye Jaan...

Pehle Tujhko Dekha...Phir Bahaaro'n Ko Dekha..
Phir Nazrein Utha Kar.....Sitaaro'n No Dekha...
Nahi Dekha Aaj-Tak...Tum Sa Haseen.....
Humne Zannat Mein Bhi...Hazaaro'n Ko Dekha...!!!

AVTAR RAYAT

***Aapse Dil Ki Baat Kahein Kis Tarah***


Aapse Dil Ki Baat Kahein Kis Tarah
Aap Meri Jaan Ho Aapko Bataayein Kis Tarah
Aap Anjaan Ho Ya Ban Rahe Ho...
Ye Andaaza Hum Lagaayein Kis Tarah,

Muqadar Se Muqadar Milna To Door Ki Baat,
Aapke Dil Se...Dil Milaayein To Kis Tarah,
Aap Milo Na Milo Ye Kismat Ki Baat Hai...Magar,
Aapko Chaaha Hai Aapko Bhool Jaayein...Kis Tarah...!!!

AVTAR RAYAT

***Aapse Dil Ki Baat Kahein Kis Tarah***


Aapse Dil Ki Baat Kahein Kis Tarah
Aap Meri Jaan Ho Aapko Bataayein Kis Tarah
Aap Anjaan Ho Ya Ban Rahe Ho...
Ye Andaaza Hum Lagaayein Kis Tarah,

Muqadar Se Muqadar Milna To Door Ki Baat,
Aapke Dil Se...Dil Milaayein To Kis Tarah,
Aap Milo Na Milo Ye Kismat Ki Baat Hai...Magar,
Aapko Chaaha Hai Aapko Bhool Jaayein...Kis Tarah...!!!

AVTAR RAYAT

***Tumhein Jab Kabi Mile Fursatein***


Tumhein Jab Kabi Mile Fursatein,
Mere Dil Se Bojh Utaar Dena,
Hum Bahut Dino Se Udaas Hein,
Humein Koyi Shaam Udhaar Dena

Humein Apne Roop Ki Dhoop Do
Veerane Dil Mein Bahaar Do
Mujhe Apne Rang Mein Rang Ke
Mere Saare Zang Utaar Do,

Kisi Aur Ko Mere Haal Se,
Na Garz..Na Koyi Wasta,
Hum Bikhre Hein..Tum Samet Lo
Hu Bigad Gaya Tum Sanwaar Lo.

Meri Mushkilon Ko Badha Diya
Hai Judaayion Ke Is Dard Ne,
Mere Dil Pe Haath To Rakho Zara
Meri Dhadkano Ko Qaraar Do...!!!

AVTAR RAYAT

***Saat Phero'n Ka Nahi***


Aye Sanam...
Saat Phero'n Ka Nahi...Saat Janmo'n Ka...
Apna Bandhan Ho,
Aapke Pyar Ki Chhaaya Mein Jiwan Mehke...
Jaise Chandan Ho,
Aapki Chaahat Ko...Aapki Mohabat Ko Dekh Ke...
Aye Jaan Aisa Lage,
Jaise Ye Saat Janam Bhi...Aapse Pyar Ke Liye...
Kam Ho...!!!

AVTAR RAYAT

***Aapko Dekhta Hai Ye Sara Jahan***104 LAST


Aye Jaan...
Aapko Dekhta Hai Ye Sara Jahan...
Bas Ek Humara Hi Aap Pe Haq Nahi,
Sirf Dil Mein Hi Rehta Hai Pyar Mera,
Barso Se Kyo Ye Ban.ta Haqikat Nahi,
Hum Neend Mein Ho'n Ya Ho Khuli Palkein,
Rehte Ho In Mein Sirf Aap Hi Jaanam,
Aapse Chaahi Hai Bas Ek..Sirf Ek Mulaqal...
Par Kabhi Hota Ye Kyo Itefaaq Nahi...!!!

AVTAR RAYAT

***Jhooth Kehte Hein Ye Zannat Wale***


Aye Sanam,
Jhooth Kehte Hein Ye Zannat Wale,
Ke Khoobsurti Sirf Unhi Ke Jahan Hai,
Unhein Shayad Ye Nahi Pata,
Humare Jaha'n Bhi Hai Khoobsurti,
Sirf Unhi Ka Hi Nahi Ye Jahan Hai,
Utar Aayegi Kisi Din Saari Zannat,
Aye Jaan Aapke Ghar Ke Samne,
Kyoke In Zannat Waalo Ne Abhi,
Tumhein Dekha Hi Kaha'n Hai...!!!

AVTAR RAYAT

***Yaad Aata Hai Koyi Shaks***


Yaad Aata Hai Koyi Shaks...Mujhe Sone Se Pehle,
Jo Chheen Leta Hai Aansoo..Mere Rone Se Pehle,
Ab Neend Bhi Jo Aaye...Hum Sona Nahi Chahte,
Kisi Keemat Par Bhi Use...Hum Khona Nahi Chahte,
Kaash Ho Jaye Wo Mera...Mujhe Khone Se Pehle,
Jo Yaad Aata Hai Bahut...Mujhe Sone Se Pehle...!!!

AVTAR RAYAT

***Kal Raat Maine Ek Sapna Dekha***


Kal Raat Maine Ek Sapna Dekha,
Dilko Jo Hai Pyara Wo Apna Dekha,
Wo Uska Simat Jana Meri Baahon Mein,
Apne Ishq Ka Khumaar Uski Nighaho Mein Dekha,
Tha Wo Manzar Itna Haseen Mere Dosto...
Maine Zannat Ki Hoor Ko Apni Panaaho Mein Dekha,
Kal Raat Maine Ye Ek Haseen Sapna Dekha...!!!

AVTAR RAYAT

***Main Koyi Kahani Nahi***

Aye Jaan...
Main Koyi Kahani Nahi...Haqikat Hu...
Ye Jaan Leejiye,
Nahi Milega Humsa Koyi Chaahne Waala...
Ye Maan Leejiye,
Aapse Shuru...Aap Pe Hi Ab Khatam Hogi...
Ye Zindagi Humari,
Yakeen Kariye Humari Mohabat Ka..
Chaahe Jab Marzi Imtehaan Leejiye...!!!

AVTAR RAYAT

***Mohabat Ko Dhokha Na Samjhiye***

Dosto...

Mohabat Ko Dhokha Na Samjhiye,
Sab Log Ek Jaise Nahi,

Jise Chaahein Wo Bhi Humein Chaahe,
Aisa Sab Jageh Hota Nahi,

Jise Log Chaahat Hein Kehte,
Sab Ke Dil Mein Hoti Nahi,

Isiliye Shayad Log Kehte Hein,
Pyar Dhokha Hai Aur Kuchh Nahi...!!!

AVTAR RAYAT

***Zindagi Hai Chhoti***


Zindagi Hai Chhoti, Phir Bhi Har Pal Mein Khush Hein,
Office Mein Gar Na Sahi, Ghar Mein Hi Khush Hein,

Aaj Roti Nahi, Chhole-Bhtoote Mein Hi Khush Hein
Gym Jaane Ka Waqt Nahi, Do Kadam Chal Ke Hi Khush Hein,

Aaj Dosto Ka Sath Nahi, TV Dekh Ke Hi Khush Hein,
Ghar Ja Nahi Sakte To Phone Kar Ke Hi Khush Hein,

Jise Dekh Nahi Sakte Uski Awaz Mein Hi Khush Hein,
Jise Paa Nahi Sakte Uski Yaad Mein Hi Khush Hein...!!!

AVTAR RAYAT

***Jab Sath Nahi Jiwan Bhar Ka***


Jab Sath Nahi Jiwan Bhar Ka,
Mat Roz Milo To Acchha Hai,

Na Pyar Badeh, Na Jhagda Ho,
Tum Door Hi Raho To Acchha Hai,

In Pyar Ki Sundar Raahon Mein,
Ab Jhootha Pyar Nahi Hota,

Yu Jee Jee Ke Ab Marne Se,
Bas Mar Hi Jeeyein To Acchha Hai,

Kabhi Waade Kiye..Jinse Tumne
Wo Log Tumhari Taaq Mein Hein,

Ab Mere Dil Ki Galiyon Mein,
Na Aur Phiro To Acchha Hai...!!!

AVTAR RAYAT

***Aise Kaun Chhodta Hai***


Aise Kaun Chhodta Hai Kisiko Apna Karke,
Tumne To Maar Hi Daala Humein Tanha Karke,

Na Jaayiye Humare Pyar Ki Arzi Ko Thukra Ke...
Kya Milega Humein Tanhaayion Ke Hawaale Karke,

Ek Nazar To Daaliye Mujh Par O Dil Ke Qaraar,
Tumhara Kya Jaayega Is Bimaar Ko Acchha Karke,

Daawa Hai Ek Din Tumhein Bahut Yaad Aayeige,
Jyada Khush Na Hoyiye Is Dil Par Shaale Karke...!!!

AVTAR RAYAT

***Aaj Jara Plaan Bana Lijiye***

Dosto...
Aaj Jara Plaan Bana Lijiye
Kab Nahaana Dhona Hai...
Kaam To Kuchh Karna Nahi
Kyoki Aaj "Sunday" Hai,
Agar Hona Bhi Hai To Sirf...
Dosto Ke Sang Mauj-Masti,
Ghoomna Ya Fir Se Sona Hai..!!!

AVTAR RAYAT

***Teri Dosti Ne***


Aye Dost....
Teri Dosti Ne Humein Mashoor Kar Diya,
Tanha Zindagi Jeene Ko Majboor Kar Diya,
Baithe Rehte The Aksar Tanhaayion Mein...
Tumne To Humse...Maut Ko Bhi Door Kar Diya...!!!

AVTAR RAYAT

***Aapke Bina Hum Ek Pal Bhi Ji Nahi Sakte***


Aye Jaan...
Aapke Bina Hum Ek Pal Bhi Ji Nahi Sakte
Marna Bhi Chaahein To Mar Nahi Sakte,
Aapke Sath Jeene-Marne Ka Waada Kiya Hai,
Us Waade Se Hum Peechhe Hat Nahi Sakte,

Ye Bhi Jaante Hein Milne Mein Mushkilein Aayeingi,
Magar Aapse Mile Bagair Hum Reh Nahi Sakte
Aapko Qasam Hai Sath Nibhaana Har Mod Par,
Aapse Bichhad Ke Ek Kadam Bhi Chal Nahi Sakte...!!!

AVTAR RAYAT

***Dard Ko Lafzon Mein Bayan Karne Wale***


Dard Ko Lafzon Mein Bayan Karne Wale
Dunia Mein Mahaan Ban Gaye,
Dosto...
Jara Unke Liye Bhi Sochiye...
Jo Apne Dard Ko Bhula Kar...
Dusro'n Ke Liye Muskaan Ban Gaye...!!!

AVTAR RAYAT

***Wo Hath Sir Per Rakhe To***


Wo Hath Sir Per Rakhe To..Ashirwad Ban Jata Hai,
Mil Jaaye Jo Uski Duya..Aasmaan Bhi Jhuk Jaata Hai,
Maa Ka Dil Na Kabhi Dukhaana Mere Dosto...
Uska Diya Jootha Bhi Prasad Ban Jata Hai...!!!

AVTAR RAYAT

***Pyar Karne Wale Aksar***


Pyar Karne Wale Aksar,
Apne Mehboob Ki Taareef Karte Rahte Hein,
Taa Ki Un Se Wo Kahin Juda Na Ho Jaaye,
Dosto...Hum Is Liye Khaamosh Rehte Hein...
Ke..Kahin Un Pe..Koyi Aur Phida Na Ho Jaaye...!!!

AVTAR RAYAT

***Apni Haseen Aankhon Mein Chupa Lo Mujhe***


Apni Haseen Aankhon Mein Chupa Lo Mujhe
Mohabat Agar Karte Ho To Chura Lo Mujhe

Khone Ka Agar Khauf Hai To Meri Jaan,
Dil Ki Har Dhadkan Mein Basa Lo Mujhe

Manzil Se Pehle Chhod To Na Doge Wada Karo,
Tum Abhi Shuruaat Mein Hi Bata Do Mujhe,

Ye Zindagi Bhi Tumhare Naam Kar Deinge...
Bas Chand Lamhein Apne Seene Se Laga Lo Mujhe

Tumhare Har Dukh Ko Has Kar Seh Leinge Hum,
Agar Apne Badan Ki Chadar Bana Lo Mujhe...!!!

AVTAR RAYAT

***Sagar Ke Seene Mein Lehrein Hein Kitni***


O Jaan...
Sagar Ke Seene Mein Lehrein Hein Kitni,
Shayad Ye Gin Ke Bata De Koyi,
Kaha'n Hai Us Ka Aakhiri Kinaara,
Wo Kinara Bhi Shayad Paa Le Koyi,

Hai Kitna Uncha...Dharti Se Gagan,
Ye Doori Bhi Shayad...Napa Le Koyi,
Aur Kitne Sitare Hein...Aanchal Mein Uske,
Har Sitaare Ko Shayad...Gina Le Koyi,

Karte Hein Kitna...Hum Pyar Tumse,
Hum Khud Nahi Jaan.te..Kya Bataayega Koyi,
Mumkin Nahi Mere Pyar Ko Bataana...
Kyoki..Mere Pyar Ka Nahi Kinaara Koyi,
O Jaan...
Kyoki..Mere Pyar Ka Nahi Kinaara Koyi...!!!

AVTAR RAYAT

***Parda Hi Karna Hai To***


Parda Hi Karna Hai To..Khwabo Mein Kyo Aate Ho
Apne Pyar Ka Deeya..Mere Dil Mein Kyo Jalaate Ho,

Alvida Kehne Ko Aaye Ho..To Phir Ye Milna Kaisa,
Hai Bichhadna...To Humein Gale Se Kyo Lagate Ho,

Dost Ban Ke Rahein..Aisa Bhi Ab Zaroori Nahi,
Jab Dil Hi Na Mil Sake..To Phir Haath Kyo Milaate Ho...!!!

AVTAR RAYAT

***Tum Chhod Kar Gaye Ho...Jab Se Sanam***

Tum Chhod Kar Gaye Ho...Jab Se Sanam,
Usi Raah Per Ruk Gaye Hein...Mere Kadam,

Tum Milo Kabhi...Haal Apna Sunayein Tumhein,
Tumhare Bina Ye Zindagi...Adhoori Hai Tumhari Kasam,

Yaad Karo..Kaha Tha Humse...Tumne Ye Kabhi,
Na Bichhadeinge Tumse...Mil Kar Saato'n Janam,

Humein To Bada Naaz Tha...Tumhare Sacche Pyar Par,
Phir Kyo Rakha Humein Andhere Mein O Be-Reham...!!!

AVTAR RAYAT

***Rishte To Ban.te Hai***


Aye Dost...
Rishte To Ban.te Hai...
Upar Waale Ki Meharbaani Se,
Hum Log To Sirf Ise...
Nibhana Jaante Hein,
Par.....
Haatho Ki Lakeerein Bhi...
Apne-Aap Ban.ni Shuru Ho Jaati Hein,
Jab Kisi Insaan Ko Hum...
Dilse Bhagwaan Maan.te Hein...!!!

AVTAR RAYAT

***Kuchh Waqt Tanhai Mein Jo Bitaaya***


Kuchh Waqt Tanhai Mein Jo Bitaaya,
To Kuchh Yaadein Taaza Ho Gayi,

Raah Mein Mila Tha Koyi Saathi
Jaane Kaise Bewafa Ho Gayi,

Dil Par Likha Tha Us ka Naam,
Wo Humse Khafa Ho Gayi,

Ye Soch Kar Hum Roye The Bahut,
Phir Socha...Bahut Der Ho Gayi,

Kuchh Waqt Thehre To The Paas Humare,
Par..Jab..Rooh Badan Se Door Ho Gayi...!!!

AVTAR RAYAT

***Wo Pyar Ka Saboot Dikhaya Karte The***


Dosto....

Wo Pyar Ka Saboot Dikhaya Karte The,
Aansu Baha Ke Hume Manaya Karte The,

Ye Zindagi Sirf Aapke Liye Hai,
Wo Aksar Har Roz Jataaya Karte The,

Sone Na Diya Kabhi Unhone,
Saari-Saari Raat Jagaya Karte The,

Bechaini Jab Had Se Zyaada Ho Jaati Thi,
Jee Bhar Ke Gale Lagaaya Karte The,

Aaj Unki Sath Rehne Ki Soch Badal Gayi,
Jo Har Baat Par"Meri Kasam"Khaya Karte The...!!!

AVTAR RAYAT

***Agar Ishq Mein Dard Na Hota***


Agar Ishq Mein Dard Na Hota,
To Shayad Mohabat Ka Naam Na Hota,
Dil Na Toot.te Agar Pyar Mein,
To Diljalo'n Ka Sailab Bhi Na Hota,

Khuda Ye Kaisi Teri Khudai,
Kyo Tune Bewafai Banayi,
Hum To Yu Hi Kurban Ho Jate,
Kyo Tune Dil Mein Aag Lagayi,

Ab Hum Kisi Ko Pyar Se,
Dekhne Se Bhi Darte Hein,
Ro Dete Hai Jab Log Humein,
Deewana Kehte Hein,

Un Logo Ko Hum Kya Batayein,
Kaise Apne Zakham Dikhayein,
Naam Khuda Tera Hi Badnam Hoga,
Jab Charcha Ye Khule Aam Hoga,

Ke Is Deewane Ki Deewangi
Ke Wajah Pyar Hai,
Meri Har Ruswayi Ki Wajah
Mera Hi Yaar Hai....
Is Ruswayi Ki Wajah....
Mera Hi Yaar Hai...!!!

AVTAR RAYAT

***Aisa Kya Likhein***


Aye Jaan...
Hum Aisa Kya Likhein...Jo Aapke Dil Ko Tasalli De,
Kya Ye Kafi Nahi Ke Aap Humari Zindagi Ho...!!!

AVTAR RAYAT

Wednesday, July 18, 2012

***Meri Zindagi Mein Agar Aap Na Aate***103 Last


O Jaan...
Meri Zindagi Mein Agar Aap Na Aate,
Apni Chahto Ko Hum Dil Se Maar Jaate,
Ek Aapki Khatir Hi To Aaj Hum Jinda Hein,
Warna Zindagi Ko Hum Kab Ke Haar Jaate...!!!
AVTAR RAYAT

***Taaqat Ki Jaroorat ***


ताकत की जरूरत तभी होती है
जब कुछ बुरा करना हो....
वर्ना.....
दुनिया में सब-कुछ पाने के लिए
प्यार ही काफी है...!!!
अवतार रॅायत

Taaqat Ki Jaroorat Tabhi Hoti Hai...
Jab Kuchh Bura Karna Ho,
Warna....
Dunia Mein Sab-Kuchh Paane Ke Liye...
Pyar Hi Kaafi Hai...!!!

AVTAR RAYAT

***Ab To Kisi Se Bhi Pyar Nahi Hota***

Aye Dost....

Ab To Kisi Se Bhi,
Pyar Nahi Hota,
Koyi Laakh Kasam Khaaye,
Aitbaar Nahi Hota,

Kaun Karta Hai,
Jahan Dil Se Mohabat
Hote Hein Bas Samjhote,
Sacha Ikraar Nahi Hota,

Bahut Zakham Milte Hein,
Mohabat Ke Shaukino Se,
Jeene-Marne Ki Baat Aaye,
Koyi Tyaar Nahi Hota,

Sapne To Hein Ye Suhaane,
Par Hein Bas Khwabon Mein,
Haqeeqat Mein Kisi Khushi Ka,
Deedar Nahin Hota,

Dil Mein Ye Hasrat Liye,
Umar Guzar Jaati Hai,
Gehraayi Tak Sochne Wala,
Har Koyi 'Avtar' Nahi Hota...!!!

AVTAR RAYAT

***Tumse Door Jaana Hai***


Aye Jaan..Izazat De Mujhe..Tumse Door Jaana Hai,
Teri Galiyon Se..Tere Dil Se..Ho Ke Majboor Jaana Hai,

Ye Na Sochna..Tere Pyar Ko..Khone Se Nahi Darte,
Kuchh Majboorian Hein..Warna Ye Faisla Nahi Karte,

Ab Bhi Yaad Hai..Jab..Tumhein Pehli Baar Dekha Tha,
Muskuraaye The Tum..Jab Humne Mud Ke Dekha Tha,

Beet Gaye Sukhon Ke Pal..Ab Rishton Mein Kadwahat Hai,
Khata Is Mein..Meri Bhi Nahi..Na Koyi Tumse Shikayat Hai,

Bhulaana Tumein Asaan Nahi..Hum Ye Bhi Maante Hein,
Umar Bhar Ki Saza Hai...Hum Acchhi Tareh Jaante Hein,

Ja Rahe Hein Shehar Se Tere..Peechhe Se Awaz Na Dena,
Bhari Hein Aankhein Aasuon Se..Jaate Huye Sailaab Na Dena,

Aye Jaan...Bas...Jaate Huye Sailaab Na Dena...!!!

AVTAR RAYAT

***Gunah Huya Hai Mujhse***


Gunah Huya Hai Mujhse,
Yeh Maana Humne,
Kya Thi Majboori,
Kabhi Jaana Tumne..?

Zakhm Tumhein Mile Hein,
Per Dard Humein Hota Hai,
Apni Bawafai Par Dil,
Sari-Sari Raat Rota Hai,

Kar Diya Maaf Keh Ke,
Gam Na Seene Mein Dabaya,
Suji Aankhein Murjhaya Chehra,
Humse Na Chhupaya,

Kuch Kar Hum Pe Reham,
Aur De Humein Saza,
Yu Aansu Baha Kar,
Humein Aur Na Tadfa...!!!

AVTAR RAYAT

***Mere Dil Ki Kitab Ko Padhna Kabhi***&

Aye Jaan....
Mere Dil Ki Kitab Ko Padhna Kabhi,
Aa Ke Sapno Mein Tum Milna Kabhi,

Maine Dunia Sazaayi Hai Tere Liye,
Meri Nazron Ki Ummed Banna Kabhi,

Bahut Door Hai Sitaron Se Roshan Jahan,
Jara Hum-Kadam Ban Ke Sath Chalna Kabhi,

Bahut Naazuk Dil Hai Seene Mein Mere,
Tum Mohabat Ban Ke Is Mein Dhadkna Kabhi...!!!

AVTAR RAYAT

***Apna Bana Lo Mujhe***


Ijazat De Di Hai Tumhein..Apna Bana Lo Mujhe,
Bhatak Rahe Hein Saanson Mein Sama Lo Mujhe,

Tumhare Siwa Na Koyi Ab Khwaab Dekhna Hai,
Baahon Mein Thaam Kar Aaj Apna Lo Mujhe,

Muqadar Sanwar Jayega Jo Hum Tumhare Kehlayeinge,
Saanson Mein Khushbu Ki Tarah Basa Lo Mujhe,

Ab Tumhare Siwa Koyi Aur Mera Naseeb Nahi,
Haatho Mein Lakiro Ki Jagah Saja Lo Mujhe...
Aye Jaan...
Haatho Mein Lakiro Ki Jagah Saja Lo Mujhe...!!!

AVTAR RAYAT

***Lamhein Apni Mulaqaton Ke***


Yaad Aate Hein Jab Lamhein Apni Mulaqaton Ke,
Dhadkane Ruk Si Jaati Hein Unhin Baaton Se,
Hosh Na Jaane Phir Kahan Gum Sa Ho Jata Hai,
Jaise Teri Baahon Ka Ghera Humein Bulaata Hai,
Yeh Zindagi Bhi Bojh Si Lagne Lagti Hai,
Jab..Tumse Judi Koyi Dil Ki Dor Tootne Lagti Hai,
Har Taraf Ghana Kohra Sa Ab To Lagta Hai,
Jab Teri Yaadon Ka Sailaab Yaad Aane Lagta Hai...!!!

AVTAR RAYAT

***Rooth Gayi Hai Khuda Ki Khudai Humse,***


Rooth Gayi Hai Khuda Ki,
Khudai Humse,
Na Jaane Kya Ho Gayi Hai,
Khata Humse,
Pyar Milega Isi Aas Mein,
Sazda Keeye Ja Rahe Hein,
Aap Ki Milne Ki Aas Mein,
Jeeye Ja Rahe Hein...!!!

AVTAR RAYAT

***Jab Dil Tumara Apna Ho***


Dosto...
Jab Dil Tumara Apna Ho,
Par Baatein Saari Uski Ho,
Jab Saansein Tumhari Apni Ho'n,
Aur Khushboo Aati Uski Ho,

Jab Har Tarf Wo Aayein Nazar,
Aur Uski Yaad Sataati Ho,
Jab Aankhein Neend Se Bojhal Ho,
Aur Us Ke Khwaab Sataate Ho,

Phir Khud Ko Dhoka Mat Dena,
Aur Us Se Ja Ke Keh Dena,
Is Dil Ki Chahat Hai Tum Se,
Is Dil Ko Mohabat Hai Tumse...!!!

AVTAR RAYAT

***Humein Akela Chhod Ke***


Humein Akela Chhod Ke,
Doosra Sathi Banaane Wale,
Mud Kar To Dekh Le Humein,
Tanha Chhod Ke Jane Wale,

Hansta Huya To Dekh Liya,
Jalta Huya Bhi Dekh Ja,
Mohabat Ka Shehar Mere,
Dil Mein Basaane Wale,

Kya Khoob Dikhaaya Tune,
Meri Barbadi Ka Chaman
Unche-Unche Khwaab Meri,
Aankhon Ko Dikhane Wale,

Socha Bhi Na Hoga Tune,
Ye Kaise Main Bataunga,
Sapne Tujh Sang Dekhe The
Jab Pucheinge Jamane Wale,

Chubhta Hai Ab Palkon Mein,
Ye Din Ka Ujaala Bhi,
Jalte Huye Na Chhod Ke Ja,
Mohabat Ka Diya Jalane Wale...!!!

AVTAR RAYAT

***Zindagi Milti Hai Bas Ek Baar***


Aye Dost...
Zindagi Milti Hai Bas Ek Baar,
Bana Sako To Bana Lijiye Ise Apna,
Warna Tarste Reh Jaayoge,
Jab Wahi Zindagi...
Ban Ke Reh Jaayegi Ek Sapna...
Waise...Mohabat Ke Bina,
Zindagi Adhoori Hai,
Gar Mil Jaaye Accha Humsafar,
Tabhi Ye Poori Hai...!!!

AVTAR RAYAT

**Aapke Bina Aaj Humara***


O Mere Sartaaz...

Aapke Bina Aaj Humara
Har Lamha Tham Gaya,
Bistar Ka Takia Thand Mein,
Aansoon Se Jam Gaya,

Dhuan Ban Gaye Hum,
Aapki Chaahat Mein O Sanam,
Humari Chaahton Se,
Kyo Tu Nafrat Kar Gaya,

Jism Ki Sundarta Ko Hi,
Poojte Ho Shayad Aap,
Pyar To Humare Dil Mein Basa Hai,
Ye Kaise Tu Bhool Gaya...!!!

AVTAR RAYAT

***Jaha'n To Sab Kuchh Bikta Hai ***

***
DiL Kya...Jaha'n To Sab Kuchh Bikta Hai Mere Dost..
Kaun Kehta Hai Humare Desh Mein Mehgaayi Hai...!!???

AVTAR RAYAT

***Haath Utha Ke Khuda Se Yehi Maangi Hai Dua***


Aye Jaan...

Haath Utha Ke Khuda Se Yehi Maangi Hai Dua,
Naseeb Ho Khushian, Tum Khush Raho Sada,

Tumhein Rahat Mile, Tumhein Chahat Mile,
Tumhein Saare Jahan Ki Mohabat Mile,

Jahan Mein Sab Se Ho'n Achhe Tumhare Naseeb,
Koyi Dukh Kabhi Bhi Na Aaye Kareeb,

Tumhare Dil Ki Har Arzoo Poori Khuda Kare,
Tumhare Chahne Walon Ko Kabhi Juda Na Kare,

Mill Jaayein Tum Ko Mere Bhi Naseeb Ki Khushian,
Dua Hai Bas Tumhein Kabhi Gam Na Mile Yahan...!!!

AVTAR RAYAT

***Gar Hum Kabhi Aapse***


Gar Hum Kabhi Aapse,
Mil Nahi Paate,
To Is Ka Matlav Ye Nahi,
Ke..Aap Yaad Nahi Aate,
Hum Maante Hein Ke Sab Rishte,
Nibhaaye Nahi Jaate,
Par Jab Dil Se Jud Jaayein,
To Phir Bhulaye Bhi Nahi Jate...!!!

AVTAR RAYAT

***Bhagat Jagat Ko Thagat Hai***


Bhagat Jagat Ko Thagat Hai,
Bhagat Ko Thage Na Koye,
Bhagat Ko To Wahi Thage,
Jo Bhagat Ka Bhedi Hoye...!!!

AVTAR RATAR

***Dil Mein Hai Hasrat Bahut***


Dil Mein Hai Hasrat Bahut,
Tumse Milne Ki,
Us Manjar, Us Fija Ka
Didar Karne Ki,
Dekhne Ki Us Anjane
Se Chehre Ko,
Jiski Pyari Si Batein,
Dil Ko Chhu Jati Hein.
Par Aye Dost,
Sab Ke Naseeb Mein To,
Zannat Ka Sukh
Nahi Hota,
Sabke Liye To
Swarg Ka Dwar Nahin Khulta,
Par Mujhe Apne Rab Se,
Koyi Shikayat Nahi..Kyonki
Jo Dost Mujhe Mila Hai..
Waisa Sabko Nahi Milta...!!!

AVTAR RAYAT

***Bichadne Wale Ko Yaad Mein Kya Deoge***


Que...
Bichadne Wale Ko Yaad Mein Kya Deoge..??
Sote Huye Ko Khwab Mein Kya Deoge..??
Hum Chahte Hai Umar Bhar Ki FRIENDSHIP Ka Wada..
Humare Ish Sawal Ka Jawab Kya Deoge...???

*************
Ans...

Hum Keh Nahi Sakte
Aapko Kya De Sakeinge.
Par Hai Ye Wada Aapse
Aap Ko Dil Mein Sada Rakheinge,

Aapse Bichhdeinge,..To..
Wafayein Inaam Mein Deinge
Door Hone Par..Khuda Se,
Paas Aane Ki Duayein Leinge,

Aapki Dosti Hai Humein,
Is Dunia Se Pyari,
Gar Jaroorat Pade
Humari Zindagi Ki,
To Aye Dost...
Apni Saanso Ko..
Aapki Dhadkano Se Jod Deinge...!!!

AVTAR RAYAT

***MerI Zindagi Ko Gamon Se Hi***


MerI Zindagi Ko Gamon Se Hi..
Bhara Rehne Dijiye,
Kuchh Der Aur In Zakhmon Ko..
Hara Rehne Dijiye,

Ye Tohfe Aur Tasveerein Apni..
Chaahe Le Jaayiye,
Par..Apni Baaton, Apni Yaadon Ko..
Mera Hi Rehne Dijiye,

Agar Ye Waakeyi Sach Hai Ke Aap..
Nahi Ho Mere..To..
Mere Khwabon Ko Haqeekat Se..
Juda Rehne Dijiye,

Ye Roshni Ye Ujaale Ye Sab..
Mubarak Ho Tumhein,
Mujhe In Andheron Ke Beech Hi..
Pada Rehne Dijiye...

Kaise Kahein Tumhein Ke Jee Nahi Sakte,
Aapke Bina...
O Jaan..Ho Sake To...Humari Zindagi Mein...
Aane Ki Koshish Jaroor Kijiye...!!!

AVTAR RAYAT

***Tumhare Kandhe Par Sar Rakh Kar***


Aye Jaan...

Tumhare Kandhe Par Sar Rakh Kar,
Do Ghadi Sone Ko Jee Chahta Hai,
Tumhare Sang Jee Bhar Ke,
Baatein Karne Ko Jee Chahta Hai,

Har Ek Chhoti Si Khwahish Ke Liye
Yu Humein Na Tadfaya Kijiye,
Kabhi-Kabhi Milne Ke Liye,
Yu Humein Na Tarsaya Kijiye,

Pyar Ke Badle Mein,
Thoda Sa Pyar Hi To Mangte Hein,
Zindagi Jeene Ke Liye Sirf
Aapka Sath Hi To Mangte Hein,

Pal Do Pal Ka Sath Bhi,
Kaafi Hai Zakham Seene Ke Liye,
Do Ghadi Gar Saath Mil Jaye
Kaafi Hai Zindagi Jeene Ke Liye...!!!

AVTAR RAYAT

***Kahin Khatam Na Ho Jaayein Ye Saansein***


Aye Jaan...

Kahin Khatam Na Ho Jaayein Ye Saansein,
Ab To Apne Waade Nibhaane Aa Ja,

Aapki Yaad Mein Hum Hamesha Rote Hein,
Ho Sake To...
Chup Karaane Ke Bahaane Hi Aaja,

Humse Gar Kabhi Gustaakhi Ho Gayi Ho,
To Un Galtion Ko Bataane Hi Aaja,

Humein Tadfa Kar Gar Aap Khush Hein,
To Apne Dil Ki Khushi Ko Dikhane Hi Aaja,

Aapke Lagaye Ilzaam Kabul Hein Sabhi,
Kam Se Kam Ab Saza Sunane Hi Aaja,

Intzar Kar-Kar Ke Hi Kaati Hai Ye Zindagi
Ab Intzaar Ki Ghadion Ko Mitane Hi Aaja,

Ab To Humein...Tadfaana Band Kijiye,
Aye Jaan...Ek Baar...Bas Ek Baar...
Apni Jhalak Dikhane Hi Aaja...!!!

AVTAR RAYAT

***Kab Hogi Aap Se Mulaqat***


Aye Jaan...

Kab Hogi Aap Se Mulaqat...Yehi Sochte Hein,
Tanhayi Mein Bhi Sirf..Tumhein Hi Sochte Hein,

Khushian To Bahut Paayi Hein Is Jahan Mein,
Kab Mileinge Humse Aap...Yehi Sochte Hein,

Jab Bhi Tanhaayi Mein Dekhte Hein Aasman,
Sitaron Mein Aapka Hi Aks Sochte Hein,

Kash..!Mil Jaaye Mouka Kuchh Kehne Ka,
Karni Hai Aap Se Kitni Batein Sochte Hein,

Agar Kaheinge Aap Se Hal-E-Dil Kabhi,
Lafz Na Kam Pad Jaayein Yehi Sochte Hein,

Karni Hai Bahut Si Aap Se Humein Baatein,
Kahan Se Shuru Kareinge Yehi Sochte Hein...!!!

AVTAR RAYAT

***Teri Yaadein***102 Last


O Jaan...
Laut Aayiye Ke..Aapki Bahut Yaad
Aati Hai,
Jab Se Gaye Ho..Ye Dil Ko Pal Pal
Sataati Hai,
Zakhm Gehre Hein Seene Mein,
Samander Ki Tarah,
Aap Bhi Daga De Gaye Humein,
Muqaddar Ki Tarah
Humare Kuchh Sawaal Jyo Hi Adhoore,
Chhodh Gaye,
Rishte Janmo Ke Chand Lamhon Mein,
Tod Diye,
Zindagi Mein Ab Koyi Bhi Cheez Nahi,
Bhaati Hai...
Laut Aayiye, Ke Aapki Bahut Yaad
Aati Hai...........
Ab To Apne Bhi Pesh Aate Hein
Begaanon Ki Tarah,
Zannat Sa Ye Ghar Bhi Nazar Aata Hai
Veeraano Ki Tareh,
Gamon Ke Teer Lage Hein Dil Ke
Nishaanne Par
Zindagi Gamgeen Ho Gayi Tere
Tere Rooth Par,
Saans Ke Shor Se Hum Aksar,
Kaamp Jaate Hein,
Dar Kar Tanhaayi Se Har Lamha,
Aapko Bulaate Hein,
Ab To Dhadkne Bhi Baar-Baar
Dhamka Jaati Hein,
Laut Aayiye Ke..Aapki Bahut Yaad
Aati Hai,
Jab Se Gaye Ho..Ye Dil Ko Pal Pal
Sataati Hai...!!!

AVTAR RAYAT

***Meri Dukh Bhari Kahani Pad Ke***


Meri Dukh Bhari Kahani Pad Ke,
Aye Jaan Muskura Na Dena,
Ye Hai Aakhri Khat Aapke Liye,
Khayal Karna Ise Jala Na Dena,

Guzar Rahi Hai Aapki Kis Tareh,
Bichhar Kar..Rula Ke Humein,
Haqikaton Ko Zaroor Likhna,
Rob Ki Khaatir Chhupa Na Lena,

Gar Koyi Poochhe Wo Kidhar Gye,
Jo The Teri Zindagi Ke Sahare,
Meri Wafa..Aur Apni Sacchaayi,
Dunia Ko Kabhi Bata Na Dena,

Hum Mar Bhi Jaaye To Muskra Dena,
Gam Ke Ehsaas Mein Chot Na Khaana,
Kabhi Gam Se Aankhein Bheeg Bhi Jaayein,
To Muh Pher Ke..Logon Se Chhipa Lena,

Khoon Se Is Khat Ko Likh Rahe Hein,
Aap Ke Saath Beeti Ye Kahania Hum,
Jo Khat Ko Phaad Bhi Do..To Paas Rakhna
Tukkdon Ko Hawa Mein Uda Na Dena...!!!

AVTAR RAYAT

***Saal Ka Ye Shubh Din Bahut Hi Suhaana Hai***


Suno....

Saal Ka Ye Shubh Din,
Bahut Hi Suhaana Hai,
Is Holi Pe Aye Jaan,
Aapko Rangne Aana Hai,

Laal-Gulaal..Aur
Kharid Laaye Hein Pichkaari,
Pehle Se Hi Ye Cheezein,
Le Aaye Hein Saari,

Dekhte Hi Rehna,
Subeh Se Raah Humari,
Kar Lena Aap Bhi,
Sabhi Rango Se Tyari,

Khelna Holi Pyar Ki,
Sara Din Humare Saath,
Kar Dena Satrangi,
Phir Rango Ki Barsat,

Holi Ke Bahaane..Bas,
Yehi Tumhein Jataana Hai,
Mohabat Ke Rang Se,
Aapko Rangne Aana Hai...!!!

>>>>Happy Holi<<<<

AVTAR RAYAT

Apni Zindagi Ko Hans Kar Basar Karna


Aye Dost...
Apni Zindagi Ko Hans Kar Basar Karna,
Nafrton Ke Raste Pe Kabhi Na Safar Karna,

Wafa Na Ho To Mohabat Adhoori Hoti Hai,
Mohabat Ke Safar Mein..Wafa Ki Fikar Karna,

Chaahe Zamana Jitna Bhi Ho Humdard Tumhara,
Zamaane Ko Is Safar Mein Kabhi Shaamil Na Karna,

Mohabat Har Kisi Ke Mukkadar Mein Nahi Hoti,
Gar Mil Jaye Mohabat To Iski Dil Se Kadar Karna,

Aye Dost........Iski Dil Se Kadar Karna....!!!

AVTAR RAYAT

***Kabhi Tum Laut Ke Aayo Mujhe Bas Itna Samjhayo***


Kabhi Tum Laut Ke Aayo,
Mujhe Bas Itna Samjhayo,
Kahan Se Seekh Li Tum Ne,
Adaa Mujh Ko Bhulane Ki,

Tumhein Koyi Shikwa Tha Mujhse,
Ya Koyi Badi Shikayat Thi,
Baat To Shayad Zara Si Thi..
Koshish To Karte Bataane Ki,

Bhala Koyi Yu Chhod Kar Bhi,
Kab Apnon Ko Jaata Hai,
Dukh Bhari Chalti Barish Mein
Jeewan Bhar Kaun Rulata Hai..?

Abhi Bhi Aankhein Geeli Hai,
Abhi Bahut Si Baat Baaki Hein
Unhi Kadmon Pe Laut Aayo,
Mujhe Bas Itna Samjhayo

Kahan Se Seekh Li Tumne,
Ada Mujhko Bhulaane Ki,
Humein To Aaj Bhi Hai Mohabat,
Kya Padi Thi Sataane Ki...!!!

AVTAR RAYAT

***Chalte The Aap..Kabhi Haath Humara Thaam Kar***


Chalte The Aap..Kabhi Haath Humara Thaam Kar,
Karte Hein Yaad Humein..Aaj Bhi Wo Raaste,
Ummeed Na Rakhiyega Dunia Mein Hum Jaisi,
Kyoki....
Humari Tareh Jahan Sacchi Mohabat Nahi Karte...!!!

AVTAR RAYAT

***Chaahe Na Kijiye Humse Mohabat***


Aye Jaan...

Chaahe Na Kijiye Humse Mohabat..Koyi Baat Nahi,
Par Is Tarah Na Thukra Kar Jaayiye Humein,

Ilzaam Na Koyi Aaa Jaaye Aapki Wafa Pe,
Hoyiye Juda Aise Koyi Kuch Keh Na Paye Humein,

Maana Aapki Mohabat Ke Kaabil Nahi Hein Hum,
Par Ek Baar, Bas Ek Baar Aajma To Lijiye Humein,

Gar Mil Jaaye Koyi Humse Behtar Is Dunia Mein,
To Sankoch Na Kijiye Aa Ke Bata Dijiye Humein,

Gar Dil Toot Jaaye Kabhi Aapka Bhi Humari Tareh,
To Laut Aayiyega...
Hum Pehle Se Aur Bhi Jiyada Toot Kar Chaheinge Tumhein,

Hum Aapke The..Aapke Hein...Aapke Hi Raheinge...
Jab Bhi Jee Chaahe Aa Kar Aajma Lijiye Humein...

O Jaan...
Jab Bhi Dil Chaahe Aa Kar Aajma Lijiye Humein...!!!

AVTAR RAYAT

***Main Aaya Tha Dunia Mein Jab Akela***


Dosto...
Main Aaya Tha Dunia Mein Jab Akela,
Maine Puchha Khuda Se Tune Kya Khel Khela,
Main Tanha Ye Zindagi Kaise Gujarunga,
Wo Bola Tere Liye Ek Hoor Utarunga,

Wo Hai Mera Banaya Hua Ek Karishma,
Us Jaisa Hoga Koi Dunia Mein Kahi Na,
Maine Puchha Kab Tak Intezar Karu,
Wo Bola Bas Us Mein Jaan Daal Doon,

Uske Husn Ko Dekh Ke Farishte Tarsenge,
Us Par Har Din Noor Ke Badal Barsenge,
Khuda Ne Phir Kaha Use Kabhi Door Na Rehna,
Usko Jaan Ke Siwa Kuchh Aur Na Kehna,

Usko Tere Liye Banaya Hai Ye Jaan Le,
Wo Kisi Or Ki Na Hogi Ye Maan Le,
Tab Se Lekar Aaj Tak Maine Intezaar Kiya,
Fir Tumne Apni Chahat Ka Izhaar Kiya,

Ab Tum Mere Khawabo Ki Wahi Hoor Ban Gayi,
Mere Dil Ka Sukoon Meri Aankhon Ka Noor Ban Gayi,
Har Ghadi Har Lamha Main Tujhe Yaad Karta Hoon,
Tu Khush Rahe Humesha Yahi Fariyad Karta Hoon...!!!

AVTAR RAYAT

***Khush The Akele Safar Mein***


Khush The Akele Safar Mein,
Koyi Anjana Mil Gaya,
Sath Chale To Laga Aise,
Zamana Mil Gaya,
Chalte-Chalte Huye Meharwan,
Hum Pe Kuch Is Tarah,
Jaise Kisi Sukhe Bagh Ko
Mausam Suhana Mil Gaya,
Kuch Der Chale Sath Mere,
Jaise Pyar Diwana Mil Gaya,
Manzil Alag Hai Humari,
Mushkil Hai Safar Humara,
Mera Itna Sa Samjhana Tha..
Aur,
Use Alag Hone Ka Bahana Mil Gya,
Kuchh Is Tarah Chali Aandhian,
Humein Na Mili Manzil, Na Mila Pyar,
Zindagi Mein Reh Gaye Akele,
Or Phir Se...
Humein Safar Viraana Mil Gaya...!!!!

AVTAR RAYAT

***Hum Bharosa Nahi Karte***


Aye Dost...
Maana Ki Har Kisi Pe,
Hum Bharosa Nahi Karte,
Sach To Hai Ye Bhi Ki,
Hum Dhokha Nahi Karte,
Har Khwaab Rakhte Hein,
Seene Mein Saza Kar,
Loot Jayein Agar Phir Bhi,
Jyada Socha Nahi Karte,
Uthtaa Hai Apne Kandhon Pe
Utna Utha Lete Hai,
Auron Ke Sar Pe Bojha,
Hum Daala Nahi Karte...!!!

AVTAR RAYAT

***Haseen Thi Zindagi Meri***


Haseen Thi Zindagi Meri
Jab Saath Tumhara Tha,
Tab Sanson Mein Tum The,
Ab Adhoora Hai Dil Mera,

Har Ek Aansoon Mein Mere
Basi Hein Wo Yaadein,
Kahan Gaye Jo Kiye The
Saath Rehne Ke Waade,

Aaj Bhi Ye Aankhein Meri
Yahan Dhoondti Hein Tumhein,
Bina Tumhare Saath Ke,
Jeene Ki Tamnna Nahi Humein...!!!

AVTAR RAYAT

***Mohabat Ki Kahanio Pe Hasi***


Aati Hai Mohabat Ki,
Kahanio'n Pe Ab Hasi,
Tum Se Bichhar Ke...
Soch Ke Dhang Badal Gaye,
Ab Tum Ko Dekh Kar Bhi,
Dharakta Nahi Hai Dil,
Tum Wo Nahi Rahe Ya Phir,
Mere Dukh Badal Gaye...!!!

AVTAR RAYAT

***Humein Iska Gam Nahi***


Aye Jaan...
Humein Iska Gam Nahi,
Ki Aap Humare Na Ho Sake,
Humari Mohabbat Mein,
Humara Sahara Na Ban Sake,
Gam To Iska Bhi Nahi Ki,
Sukoon Dil Ka Lut Gaya,
Gam To Is Baat Ka Hai Ke,
Mohabbat Se Bharosa Uth Gaya...!!!

AVTAR RAYAT

Aaj Ka Din To Beet Gaya


Aaj Ka Din To Beet Gaya...
Aye Dil...Aa Chalein...
Kal Phir Se Un Ka Intezaar Kareinge...!!!

AVTAR RAYAT

***Aapki Palkon Mein***


Aye Jaan...
Aapki Palkon Mein,
Rehna Chahate Hein Raat Bhar...
Hum To Ek Khawab Hein...
Subeh Hote Hi Chale Jaayeinge...!!!

AVTAR RAYAT

***Mujhe Ek Baat Samajh Mein Aayi Nahi***


Aye Dost...
Mujhe Ek Baat Samajh Mein Aayi Nahi,
Mummy Ne Bhi Kabhi Samajhai Nahi.

Main Kaise Mithi Baat Karu,
Jab Mithi Chiz Koyi Khayi Nahi.
Ye Chaand Kaise Maama Hai,
Jab Mumy Ka Wo Bhai Nahi.

Kyo Lambe Baal Hein Bhaalu Ke,
Kyo Usne Triming Karayi Nahi.
Kya Wo Bhi Ganda Bacha Hai,
Ya Jungle Mein Koyi Naayi Nahi.

Nana Ki Biwi Jab Nani Hai,
Dada Ki Biwi Jab Dadi Hai.
Mama Ki Biwi Jab Mami Hai
Papa Ki Biwi Kyo Papi Nahi,

Samundar Ka Rang Kyo Neela Hai,
Jab Neel Kisi Ne Milaayi Nahi,
Jab School Mein Itni Neend Aati Hai,
To Par Waha Kyo Chaarpaayi Nahi,

Ek Baat Samajh Mein Aayi Nahi,
Mummy Ne Bhi Kabhi Bataayi Nahi...!!!

AVTAR RAYAT

***Zara Sa Khayal Rakh Lena***


Aye Jaan,

Zara Sa Khayal Rakh Lena,
Meri Pehli Mohabat Hai
Wafa Ka Maan Rakh Lena,
Meri Pehli Mohabat Hai,

Kahan Is Umar Mein Hum
Kya Badlene Ka Socheinge,
Milan Jara Aasan Rakh Lena,
Meri Pehli Mohabat Hai,

Judai Ke Dinon Mein Log,
Chehre Bhool Jate Hein,
Meri Pehchan Rakh Lena,
Meri Pehli Mohabat Hai,

Judai To Seh Leinge,
Magar Tum Phir Se Milne Ki,
Koyi Baat Rakh Lena,
Meri Pehli Mohabat Hai...!!!

AVTAR RAYAT

***Hath Mein Leke Tera Hath***


Hath Mein Leke Tera Hath,
Karte Hein Wada,
Kabhi Chhodeinge Na Tera Sath
Hai Ye Wada,

Kabhi Na Badleinge,
Badalte Mausam Ki Tarha,
Rakheinge Sada Tumhara Khayal
Hai Ye Wada,

Log To Halaat Badalte Hi,
Badal Jaate Hein,
Kabhi Badlega Na Tera Pyar,
Hai Ye Wada,

Lekin..Aap To Ye Waade Bhi,
Bhula Dete Ho,
Ab Na Badloge Kabhi Iraada,
Karo Ye Wada...!!!

*HAPPY PROMISE DAY*
On 11 Feb...

AVTAR RAYAT

Wednesday, July 11, 2012

***Aapki Ye Shikayat Hai Ke***101 Last


Aye Jaan,
Aapki Ye Shikayat Hai Ke,
Aapko Yaad Nahi Karte,
Aapko Soch Kar...
Kabhi Aahein Nahi Bharte,
To Suno Jaan...
Meri Zindagi Ka Har Sapna,
Tumhi Se Hai Poora,
Meri Har Gazal,Har Sher Mein,
Aapka Naam Na Aaye...
Wo Rehta Hai Adhoora,
Ab Khud Hi Sochna Ke,
Aapko Kitna Yaad Karte Hein,
Jitna Door Hai Dharti Se Gagan,
Utna Aapse Pyar Karte Hein...!!!

AVTAR RAYAT

***Maut To Ek Haqiqat Hai***


Dosto...
Maut To Ek Haqiqat Hai,
Jisko Paana Hai Sabne,
Aaz Nahi To Kal,
Us Ke Paas Jaana Hai Sabne...
Bhaagte Hein Is Se Log,
Jaane Kyon Anjaan Bankar,
Dunia Mein Hum Sabh Aaye Hein,
Sirf Kuchh Din Ke Mehman Bankar...!!!

AVTAR RAYAT

***Jhooth Kehte Hein Ye Zannat Wale***

Aye Sanam,
Jhooth Kehte Hein Ye Zannat Wale,
Ke Khoobsurti Sirf Unhi Ke Jahan Hai,
Unhein Shayad Ye Nahi Pata,
Humare Jaha'n Bhi Hai Khoobsurti,
Sirf Unhi Ka Hi Nahi Jahan Hai,
Utar Aayegi Kisi Din Saari Zannat,
Aye Jaan Aapke Ghar Ke Samne,
Kyoke In Zannat Waalo Ne Abhi,
Tumhein Dekha Hi Kaha'n Hai...!!!

AVTAR RAYAT

***Mere Dhadkte Dil Mein***

Aye Jaan...

Mere Dhadkte Dil Mein,
Har Dharkan Teri Hai,
Un Dhadkno Ki Kasam,
Tu Zindagi Meri Hai,
Is Jiwan Ko To Ab,
Jeene Ke Liye O Jaan,
Meri Ek-Ek Saans Ko,
Jaroorat Teri Hai...!!!
*HAPPY VALENTINES DAY WEEK*

AVTAR RAYAT

***Aapse Mohabat Hai Kitni***


Aapse Mohabat Hai Kitni,
Ye Batayeinge Kisi Din,
Kabhi Baith Kar Sochoge,
To Aansu Aa Jaayeige Kisi Din,

Simat Jaye Doorian,
Jo Hein Humare Beech,
Phir Dil Chhune Wali Nazm
Sunayeinge Kisi Din,

Aap Aayo Paas Kabhi,
Kitni Karte Hein Mohabat
Dil Chir Ke Apna,
Dikhayeinge Kisi Din,

Aapse Door Rehkar Apne,
Dard Ko Batayein Kya,
Dil Ki Thodi Si Is Khata,
Batayeinge Kisi Din,

Hai Kuch Bhi Nahi Namumkin,
Agar Aapne Kabhi Pukara,
Jo Mar Bhi Gaye Honge...
To Laut Kar Aayeinge Kisi Din...!!!

AVTAR RAYAT

***Muskilon Se Ghirkar***


Muskilon Se Ghirkar Bhi,
Kabhi Saath Na Chhodeinge,
Agar Mushkilein Aayegi Bhi,
To Uska Rukh Mod Deinge,
Yu To Hum Kabhi Kisi Se,
Aise Waade Nahi Kiya Karte,
Par Aapse Kiye Ek-Ek Waade Ko
Apni Zindagi Ke Sath Jod Leinge...!!!

AVTAR RAYAT

***Tumhare Kadmon Ke Nishan***


Tumhare Kadmon Ke Nishan
Rahon Pe Aaj Bhi Baaki Hein,
Teri Mohabton Ke Nishaan
Dil Mein Aaj Bhi Baaki Hein,

Tumne Kabhi Humse Pyar Nahi Kiya,
Ye To Hum Kab Se Jaante The,
Kya Karein Aaj Bhi Humare Dil Mein,
Tere Pyar Ke Armaan Baaki Hein,

Tumhare Jaane Ke Baad,
Koyi Bhi Khushi Humari Na Rahi,
Teri Pyar Bhari Wo Yaadein,
Ab Humari Na Rahi,

Kabhi Aapke Dil Ke,
Kareeb Huya Karte The Hum,
Par Ab To Wo Jagah Bhi,
Humari Na Rahi,

Haste Hein Sabke Saath,
Par Dil Fir Bhi Rota Hai,
Is Dunia Mein Pyar Khone Wala,
Kabhi Khush Nahi Hota Hai,

In Durion Ke Baad Bhi Humara
Pyar Kabhi Khatam Nahi Huya,
Kyonki, Apne Sapno Ko Luta Kar,
Koyi Chain Se Nahi Sota Hai...!!!

AVTAR RAYAT

***Meri Jaan Se Bhi***


Aye Jaan,

Meri Jaan Se Bhi,
Mujhe Pyare Ho Tum,
Mere Chahat Ki Manzil Ke,
Akhiri Kinaare Ho Tum,
Jab Se Milein Hein Aapse,
O Mere Shona,
Mere Dil Ki Har Khushi Ke,
Sahaare Ho Tum,
Barson Tarsi Jis Pyar Ke
Intezaar Mein Ye Aankhein,
Wo Aasmaan Ke Sitaare Ho Tum,
Isi Liye Meri Jaan Mujhe...
Sabse Pyare Ho Tum...!!!

AVTAR RAYAT

***Zamane Ki Wafayein***

Ye Zamane Ki Wafayein Mere Kaam Ki Nahi,
Mujhe Unki Wafa Chahiye Kisi Aam Ki Nahi,

Unki Ek-Ek Muskurahat Bahut Anmol Hai,
Ye Baaki Muskrahtein Kisi Daam Ki Nahi,

Mujhe Gam To Unke Chhin Jaane Ka Hai,
Parwa..Unke Lage...Kisi Ilzaam Ki Nahi,

Mere Hath Dekh Kar Ek Faqir Ye Bola,
Abhi Bahut Si Hein Chahte Baki Tere Naam Ki,

Lekin.........Phir Wo......Thoda Soch Ke Bola...
Tere Haatho Mein Lakeerein Unke Naam Ki Nahi...!!!

AVTAR RAYAT

***Humein Aapki Mohabat Ka***


Aye Jaan,

Humein Aapki Mohabat Ka,
Paigaam Mila Hai,
Dil Jyo Khil Utha Jaise
Aasmaan Hila Hai,

Ek Ajib Si Mehak Hai,
Aapki Pyari Baton Mein,
Phoolon Ke Roop Mein Jaise,
Gulisatan Mila Hai,

Hum To Bhatak Rahe The
In Andheri Raaton Mein,
Humein Roshni Dikhane,
Ek Mehmaan Mila Hai,

Aapki Chahat Mein Bhi,
Dunia Se Alag Baat Hai
Jaane Kis Dua Se Mohabat Ka,
Bhagwan Mila Hai...!!!

AVTAR RAYAT

***Zindagi Bhar Aapko***


Aye Jaan...
Zindagi Bhar Aapko..
Aisa Pyar Deinge,
Aapki Soch Se Bhi Jiyada,
Be-Shumaar Deinge,
Dee Na Hongi Itni Khushian
Kisi Ne Bhi Apne Pyar Ko,
Wada Hai Utni Khushia,
Har Janam Mein,
Baar-Baar Deinge...!!!

AVTAR RAYAT

***Khilti Kali Ki Tareh Hai***

Aye Dost...
Khilti Kali Ki Tareh Hai Muskaan Teri,
In Phoolon Mein Basi Hai Pehchaan Teri,
Main To Itna Hi Kahunga O Mere Humdum...
Meri Jaan Mein Basti Hai Jaan Teri...!!!

AVTAR RAYAT

***Un Ka Naam Jo Liya To Uljhan Si Ho Gayi***


Un Ka Naam Jo Liya To Uljhan Si Ho Gayi,
Shayad Humein Un Se Mohabbat Si Ho Gayi,
Wo Karte The Badnaam Humein Logon Mein,
Aur..Humein Bhi Mashoor Hone Ki Aadat Si Ho Gayi...!!!

AVTAR RAYAT

***Mohabat To Unse***

Dosto...
Mohabat To Unse...
Humein Bahut Hai...Par...
Hum Phir Bhi Nahi Dete Unhein Ye Dua...
Ke Humari Umar Unhein Lag Jaaye,
Kyoki...Kya Pata Kal Humari Zindagi Ka...
Aakhiri Din Ho...!!!

AVTAR RAYAT

Aayo Jhuk Kar Karein Salam

Dosto...
Aayo Jhuk Kar Karein Salam Unhein...
Jinke Hisse Mein Ye Mukam Aaya Hai,
Bahut Khusnasib Hein Wo Log...
Jin Ka Khoon Desh Ke Kaam Aaya Hai...!!!

***HAPPY REPUBLIC DAY***

***Zindagi Se Ye Gila Hai Mujhe***


Aye Jaan...
Zindagi Se Ye Gila Hai Mujhe,
Aap Bahut Der Se Mile Ho Mujhe,
Kash Main Aapke Janam Se...
Do Chaar Saal Pehle Janam Leta...
To Shayad Aaj Paa Leta Tujhe...!!!

AVTAR RAYAT

***Kya Kaaran Hai Jo Door Chale Jaayoge***


O Jaan...
Kya Kaaran Hai Jo Door Chale Jaayoge,
Aur Kehte Ho Humko Yaad Na Aayoge,

Chalo Kar Ke Dekh Lo Har Mumkin Koshish,
Kya Rooh Ko Jism Se Door Na Kar Paoge,

Maana Aaj Aapka Saath Dena Hai Mushik,
Kya Mere Saaye Ka Saath Chhod Paoge,

Kyo Manzil Dhoond Rahe Ho Humse Alag,
Kya Humare Bagair Tum Door Reh Paoge,

Jab Bhi Kabhi Howoge Tanha Akele Tum,
Apne Dil Ko Humare Liye Bekarar Paoge,

Kuch Lamho Ke Liye Shayad Ro Bhi Loge
Par Phir Bhi Tum Sukoon Kahin Na Paoge,

Hum Zulam Tumhare Phir Bhi Jhel Lainge,
Kya Dukh Deke Tum Chain Se Reh Paoge

Roye Hein Hum Har Roj Har Raaton Mein,
Par Chain Se To Tum Bhi Nahi So Paoge,

Tod Kar Dil Mera Chal To Diye Ho Anjan Bankar
Par Mere Bagair Manzil Tum Bhi Kahin Na Paoge,
Aye Jaan...
Mere Bagair Manzil Tum Bhi Kahin Na Paoge...!!!

AVTAR RAYAT

***Kal Tere Shehar Se***


Suno...
Kal Tere Shehar Se...
Ab Jana Hai Mujhe,
Aaj Ki Raat Zara...
Mujhe Mana Kar Sona,
Mere Baad Koyi Na...
Sunega Dukh Tumhare,
Mujhe Apne Saare...
Dukh Suna Kar Sona,
Chale Jayeinge To...
Yaad Karke Roya Karoge,
Sirf Aaj Ki Raat Mujhe...
Apna Bana Kar Sona,
Humne To Toot Kar...
Chaaha Tha Tumhein,
Jaane Kyo Nahi Chaaha...
Tumne Waise Humein,
Aaj Ki Raat Hi Hein...
Hum Aapke Shehar Mein,
Tumne Kyo Nahi Chaha...
Ye Baat Bata Kar Sona,
Shayad Ye Mere Aansu...
Tumein Khreed Lein,
Aaj Mere Aansuo'n Ki...
Keemat Laga Kar Sona...!!!

AVTAR RAYAT

***Ek Din Chand Se Ki Guzarish Maine***


Ek Din Chand Se Ki Guzarish Maine,
Mere Chand Se Kar Mulaqat Kabhi,

Chand Ne Muskura Kar Mujhse Kaha...
Mujh Mein Tere Chaand Jaisi Baat Nahi

Kaha Chaand Ne Sharma Ke Mujhe
Apne Chaand Ko Raat Mein Bahar Na Niklne Dena

Agar Huya Aisa Ke Jo Tu Nikal Aaya
Phir Main Kabhi Chamak Payunga,

Roshni Tere Chand Ki Hai Dunia Se Alag,
Shayad Main Us Mein Kahin Kho Jayunga...!!

AVTAR RAYAT

***Ye Meri Zindagi Tere Hone Se Chalti Hai***


O Jaan...
Ye Meri Zindagi Tere Hone Se Chalti Hai,
Chehre Pe Raunak Teri Muskraht Se Khilti Hai,
Tera Hansta Chehra Jeene Ka Sahara Hai,
Bin Tere Dunia Mein Koyi Aur Nahi Humara Hai,
Chand Sitaron Ki Khwahish Nahi Humari,
Bas Yuhi Baste Rahna Sanson Mein Humari,
Sagar Sa Hai Dil Tumhara Jo Hum Maante Hein
Tum Humein Mile Ye To Taqdeer Thi Humari,
Naaz Khuda Bhi Karta Hai Kismat Pe Humari,
Jo Baste Ho Dil Mein..Banker Dhadkan Humari...!!!

AVTAR RAYAT

***Ho Chuke Ab Kisi Aur Ke Wo***

Ho Chuke Ab Kisi Aur Ke Wo...
Kabhi Mere Huya Karte The Wo,
Kaun Bhoolta Hai Mohabat Pehli,
Humari To Saari Khushi The Wo,
Phool Ki Tarah Muskraia Karte The,
Mere Honton Ki Haansi The Wo,
Kal Barson Ke Baad Unhein Dekha,
Aaj Bhi Utne Hi Haseen The Wo,
Zindagi Unke Naam Kar Di Thi Humne,
Aaj Log Kehte Hein Ajnabi The Wo...!!!

AVTAR RAYAT

***Beet Gaya Jo Saal Puraana***

Dosto...
Beet Gaya Jo Saal Puraana Use Bhool Jaayein,
Is Naye Saal Ko Khushi-Khushi Gale Lagayein,
Karte Hein Dua Hum Sar Jhuka Ke Rab Se....
Is Saal Ke Dekhe Sapne Poore Ho'n Aap Sab Ke...!!!

AVTAR RAYAT

***Tarif Kya Karu Main***


Tarif Kya Karu Main...
Tere Husan Ki Sanam,
Tujh Se Shuru Hoti Hai...
Tujh Pe Khatm Hai Sanam,
Tum Zulf Na Swaarna...
Kabhi Aayine Ke Samne,
Nazar Lag Jaayegi Tumhein,
Tujhe Teri Hi Sanam...!!!

AVTAR RAYAT

***Bas Ek Chhoti Si Baat Ki Haan Kar Do***


Aye Jaan...
Bas Ek Chhoti Si Baat Ki Haan Kar Do,
Apni Chahat Ko Humare Naam Kar Do,
Agar Mohabat Tumare Dil Mein Bhi Hai,
To Use Zuban Par La Kar Bayan Kar Do,

Aaj Bas Aap Kaho Aur Kehte Hi Jao,
Hum Sirf Sune Aisa Be-Zuban Kar Do,
Mohabat Ki Kahania To Bahut Suni Hongi
Humse Judo Aise Dunia Ko Hairaan Kar Do,

Aa Jao Ke Toot Kar Chaheinge Tumhein,
Tum Bhi Humein Chahkar Mohabat Mahaan Kar Do,
Apne Dil Mein Is Tarha Chupa Lo Hum Ko,
Chaaho Aise Humare Dil Pe Nishaan Kar Do...!!!

AVTAR RAYAT

***Tumhein Kis Baat Ki Hai Chinta***


O Sang Dil...

Tumhein Kis Baat Ki Hai Chinta...
Dil Humara Tod Kar,
Hum Khud Hi Chale Jaayeinge...
Ye Shehar Tumhara Chhod Kar,

Humein Rokna Bhi Chaahoge,
To Kya Karoge Haasil,
Hum Nahi Tumhein Dikhaayeinge,
Ye Mukh Apna Mod Kar,

Teri Mohabat Mein Aaj Tak,
Khoob Lutaaya Apne Aapko,
Ja Rahe Hein Siwa Sharir Ke,
Sab Kuch Apna Chhod Kar,

Na Dena Kisi Aur Ko,
Dhoka Kabhi Pyar Mein,
Kya Karoge Tum Dunia Mein...
Itne Dilon Ko Tod Kar...!!!

AVTAR RAYAT

***Apna Haal Tumhein Kaise Batayein***100 Last


Aye Jaan...
Apna Haal Tumhein Kaise Batayein,
Zakhm Jo Dil Pe Hein Kaise Dikhayein,
Zindagi Se Jyada Chahte Hein Tumhein,
Ye Dil Cheer Kar Kaise Dikhayein,

Tumhari Hi Yadon Mein Din Raat Kat.te Hein,
Luti Hai Neend-Chain Tumhein Kaise Bataayein,
Aankhein Band Karte Hi Aap Nazar Aate Ho,
Apna Ye Diwana-pan Kaise Dikhayein,

Itni Door Hote Huye Bhi Paas Lagte Ho,
Ajeeb Sa Apna-Pan Tumhein Kaise Dikhayein,
Jeete Hein Tumhare Naam Se...
Mareinge Tumhari Yaad Mein,

Ye Zindagi Ka Hai Maksad Mera...
O Jaan..Tumhein Ye Bhi Batayein...!!!

AVTAR RAYAT

***Na Dekha Gam Mera***


O Sang DiL....
Na Dekha Gam Mera...
Na Halat Hai Jaani,
Meri Barbadion Ki...
Tumne Likh Di Hai Kahani,

Pehle To Dil Lagaya...
Phir Use Tod Daala,
Sath Mere Chalte-Chalte...
Raah Mein Chhod Daala,

Dil Pe Lagi Hai Aisi...
Jo Bujhaye Na Bhuji,
Aag Phir Kyo Lagai...
Tumhein Ye Kya Thi Sujhi,

Humari Is Zindagi Par...
Kuchh To Reham Khaate,
Keeya Tha Pyar Tujhse...
Jo Dil Mein Ab Bhi Hai Baaki...!!!

AVTAR RAYAT

***Umar Bhar Hum Chaaheinge***


Suno Jaan...

Umar Bhar Hum Chaaheinge...
Subah-Sham Tumko,
Bana Liya Hai Humne...
Dil Ka Arman Tumko,
Mere Siwa Kisi Aur Par,
Kabhi Nigaah Na Karna,
Saza Koyi Bhi Dena...
Bas Ye Zulam Na Karna,
Apne Dil Se Mere Pyar Ko...
Kabhi Kam Na Karna...!!!

AVTAR RAYAT

***Mere Dil Ki Nagri Udaas Hai Tere Bin***


Aye Dost...
Mere Dil Ki Nagri Udaas Hai Tere Bin,
Bujhti Nahi Aankhon Ki Pyaas Tere Bin,
Zindagi Mein Aansuoo Ka Salaab Hai Bahut,
Karun Kya Khusiyon Ki Baraat Tere Bin,

Jabse In Hathon Ko Tumne Thama Hai,
Tab Se Zindagi Humari Badal Gayi,
Jis Khushi Ke Liye Hum Tadafte The,
Zamaane Mein Kahin Na Mili Tere Bin...!!!

AVTAR RAYAT

***Dil Tujhko Diya Hai***

O Jaan...

Dil Tujhko Diya Hai,
Hum Jaan Bhi De Dainge,
Tumse Pyar Hai Bahut,
Aaj Sab Se Keh Deinge,

Ye Saansein Ye Dhadkan,
Tum Sab Kuch Ho Mere,
Akele Hum Khush Nahi Reh Sakte,
Bin Tere Kabhi Saans Nahi Leinge,

Himmat Hai Bahut Mujh Mein,
Pyar Mera Kamzor Nahi,
Agar Rehna Pada Juda Tumse,
Teri Doori Ko Bhi Seh Leinge....

Armaan Hai Mere Dil Ka,
Sada Ban Ke Tere Rehne Ka,
Agar Majboori Hai Paas Aane Ki,
To Tera Intezaar Kar Leinge...!!

AVTAR RAYAT

***Tumse Hai Raushan Mera Ye Jahan***


O Jaan...
Tumse Hai Raushan,
Mera Ye Jahan,
Tumhi Ho Zindagi Humari,
Tumhi Ho Meri Jaan,

Saansein Dharkan
Sab Judi Hein Tumse,
Mera Sabh Kuchh Sanam
Tum Pe Qurbaan,

Rehna Hai Bin Tere,
Bahut Hi Mushkil,
Rakhna Mera Khayal,
O Mere Meharbaan,

Rehte Ho Sang Humesha
Sath Mere Parchaai Bankar,
Sama Gaye Dharkan Mein
Humari Ban Ke Pehchaan,

Luta Baithe Hein...
Apna Sab Kuch Tum Par,
Kar Di Ye Zindagi Bhi,
Tumhaare Naam,

Humare Har Sapne Ko
Kiya Hai Dil Se Poora,
Ab Ye Zindagi Humari,
Tumhari Hai Jaan...!!!

AVTAR RAYAT

***Jab Pehli Baar Mile The Tum***


Jab Pehli Baar Mile The Tum,
Tab Se Tumhein Chaahta Hoon,
Fursat Ke Har Lamhe Mein,
Tumhein Saath Paata Hoon,

Tumhaari Yaadein Jab Aati Hein,
Main Unke Saath Lehraata Hoon
Main Kaise Bataayun Tumse Ye...
Ke Tumhein Kitna Chahta Hoon,

Jab Tum Kabhi Saamne Nahi Hote
To Khawabon Mein Dhoondta Hu...
Kabhi Mere Dil Se Poochho Jaanu...
Tumhein Kitna Poojta Hoon...!!!

AVTAR RAYAT

***Tume Paane Ki Tamanna Hai***


O Jaan...
Tume Paane Ki Tamanna Hai,
Tume Apna Banaunga,
Tumse Ab Ek Bhi Pal Main,
Kabhi Na Door Na Jaayunga,

Agar Tum Na Mil Paaye To,
Main Jeete Ji Mar Jaaunga,
Tumse Milne Ki Tamanna Hai
Tumhein Apna Banaunga,

Tere Is Roop Ne Dilbar,
Mujhe Paagal Banaya Hai,
Tujhe Dekha To Ye Shocha
Zamin Par Chaand Aaya Hai

Chaman Mein Phool Hein Lekin,
Na Tumsa Phool Hai Koyi,
Tujhe Chaaha Agar Maine,
Kya Ye Bhool Hai Meri,

Agar Tu Saath Hai Mere,
To Dil Aabaad Hai Mera,
Agar Tu Door Hai Mujhse,
To Dil Bechain Hai Mera,

Jiyeinge Sath Sada Hum Tum,
Sanam Hum Saath Hi Mareinge,
Raheinge Milkar Sari Umar,
Gam Mein Na Aahein Bhareinge,

Tumse Milne Ki Tamanna Hai
Tumehin Apna Banaunga
Tumse Ab Ek Bhi Pal Main,
Kabhi Na Door Jaaunga,

Agar Tum Na Mile To Main,
Sanam Main Mar Hi Jaaunga,
Tumse Milne Ki Tamanna Hai
Tumhein Apna Banaung...!!!

AVTAR RAYAT

***Chhoo Ke Jo Guzre Wo Thandi Hawa***


Suno Jaan...

Chhoo Ke Jo Guzre...
Wo Thandi Hawa,
Maine Jo Mangi...
Wo Dua Ho Tum,

Kiya Maine Mehsoos...
Wo Meetha Ehsaas,
Meri Barson Ki...
Talash Ho Tum,

Meri Zindagi Mein...
Dil Ka Qarar
Maine Jo Chaaha...
Wo Pyar Ho Tum,

Barson Ke Intzaar Mein...
Meri Soch Ki Rahat,
Mere Akele Dil Ki...
Chahat Ho Tum,

Tum Ho To...
Zindagi Ki Shaan,
Meri Mohabat Hi Nahi...
Mera Imaan Ho Tum,

Aur Bas...
Main Tumse Kya Kahun,
Ke Mere Kya Ho Tum...
Aye Jaan...
Mere Liye Meri Dunia,
Mere Khuda Ho Tum...!!!

AVTAR RAYAT

***Pyar Mera Tumhein Bahut Sataayega***

Pyar Mera Tumhein Bahut Sataayega
Jitna Mujhse Door Jaayoge Jaanam,

Naam Mera Likh Kar Kitabon Mein Apni,
Logon Ke Dar Se Mitaayoge Jaanam,

Zikar Mera Kahin Bhi Karne Se Pehle,
Kuch Soch Kar Muskurayoge Jaanam,

Baatein Humari Tumhein Yaad Aayeingi Itni,
Humein Jitna Bhi Bhulaayoge Jaanam...!!!

AVTAR RAYAT

***Ye Aansu Bhi Humein***

O Shona...
Ye Aansu Bhi Humein...
Bade Lagte Hein Pyare,
Jo Aapko Yaad Karke Aaye Hein...
Ankhon Mein Humare,
Baar Du Lakhon Khushian...
Aye Jaan Aise Dardo'n Par,
Jo Mile Hein Humein...
Mohabat Mein Doob Kar Tumhare...!!!

AVTAR RAYAT

***Hum Jab Bhi Raat Ko***


Aye Jaan...

Hum Jab Bhi Raat Ko...
Tanhayi Mein Hote Hein,
Tumhari Yaadon Ko...
Paas Bula Lete Hein,

Had Se Badh Jaati Hai...
Jab Yaad Tumhari,
To Un Yaadon Mein Khokar...
Aansu Baha Lete Hein,

Hum Sote Nahi Hein...
Raat Ko Aksar,
Kitne Gustakh Hein...
Sath Tumhein Bhi Jaga Lete Hein,

Dekh Na Le Koyi...
Humari Aankh Mein...
Tumhara Chehra O Sanam,

Is Liye Sham Se Pehle...
Hum Chiraag Bhuja Dete Hein...!!!

AVTAR RAYAT

Kaam Jo Bhi Hai Mera

Kaam Jo Bhi Hai Mera,
Wo Shaan Hai Meri
Sabko Pyar Sikhaana...
Pahchan Hai Meri,
Kabhi Dil Zakhmo Se Bhara Ho...
To Aa Kar Humse Miliye,
Kyoki Dilon Ko Repair Karne Ki...
Dukaan Hai Meri...!!!

AVTAR RAYAT

Tuesday, July 10, 2012

***Apni Mohabat Ko Naya Mod Diya Usne***

***FUNNY***

Apni Mohabat Ko Naya Mod Diya Usne,
Chhat Se Dhakka De Ke Hath Chhod Diya Usne,

Pehle Hanste The Ab Bas Muskurate Hein,
Maar Ke Mukka Aage Ka Daant Tod Diya Usne,

Usne Ishara Kiya Ke Kuchh Kehna Hai Tumse,
Sar Paas Kiya To Kaan Marod Diya Usne,

Sardian Aayi To Laye Santra Us Bad-Dimaag Ke Liye,
Santra Kha Ke Chilka Ankhon Mein Nichod Diya Usne,

Bewafai Ki To Had Hi Kar Di Aaj Us Zalim Ne..Jab..
Milne Ghar Gaye To Hum Pe Kutta Chhod Diya Usne...!!!

AVTAR RAYAT

***Kya Karein Hum Is Dil Ka***

O Jaan...

Kya Karein Hum Is Dil Ka,
Jisne Tumhein Pasand Kiya,
Nazron Ne Tasvir Bana Ke,
Dil Mein Band Kiya,

Karte Na Izhaar Tumhein,
Kabhi Na Apni Baat Ka,
Baat Karne Ko Is Dil Ne
Din-Raat Tang Kiya,

Kya Karein..Ab Kaise Kahein,
Nahi Tujhse Juda Ho Sakte,
Kyoki...
Is Bheed Bhari Dunia Mein Is Ne,
Sirf Tumhein Pasand Kiya...!!!

AVTAR RAYAT

***Ye Tammana Phir Se Machal Jaaye***

O Jaan...

Ye Tammana Phir Se Machal Jaaye...
Agar Tum Milne Aa Jaayo,
Ye Patjhad Sa Mausam Bhi Badal Jaaye,
Agar Tum Milne Aa Jao,
Mujhe Gam Hai Bahut..Ke Dunia Mein
Kuch Nahi Paaya,
Ye Gam Bhi Apne-Aap Door Ho Jaaye,
Agar Tum Milne Aa Jao...!!!

AVTAR RAYAT

***Mujhe Mohabat Hai Tumse***

Aye Jaan......

Mujhe Mohabat Hai Tumse,
Isko Kaise Bayan Karu,
Tum Mil Jayo Mujh Ko,
Khuda Se Yehi Dua Karu,

Agar Mere Haathon Ki
Lakiron Mein Aap Nahi...
Guzaar Deinge Tanha Jiwan,
Iske Alawa..Main Kya Karu,

Ummid To Hai Pa Leinge,
Darte Hein Kismat Se,
Ke..Aap Na Mil Paaye..To..
Zindagi Ka Main Kya Karun...!!!

AVTAR RAYAT

***Jabse Mujhe Tera Saath Mila***


Aye Jaan...

Jabse Mujhe Tera Saath Mila,
Kuchh Paane Ki Tamanna Na Rahi,
Pa Liya Rab Ke Roop Mein Tujhko,
Ab Rab Paane Ki Tamanna Na Rahi,

Dil Mein Ek Armaan Tha Mere,
Bas Tere Ban Ke Rehne Ka,
Khuda Ne Sun Li Fariyaad Meri,
Ab Koyi Aur Tammana Na Rahi,

Hum Pyar Karte Hein Tumhein,
Khudse Bhi Jiyaada Sanam,
Ab Khud Ko Aaine Mein Humein
Dekhne Ki Tamanna Na Rahi,

Hum Jaise Bhi Hein Tere Hein....
Tere Siwa Hum Kuchh Nahi,
Tujhe Paa Liya Khuda Pa Liya,
Ab Koyi Aur Tamanna Na Rahi...!!!

AVTAR RAYAT

Tuesday, July 3, 2012

***Kyo Baar-Baar Rulaate Ho Humein***99 Last


O Jaan...

Kyo Baar-Baar Rulaate Ho Humein,
Kyo Roj Naya Dard De Jaate Ho Humein,
Tumhare Hi Sahare To Hum Zinda Hein,
Phir Kiske Sahare Chhod Jaate Ho Humein,

Har Baat Chhupana Aata Hai Tumhein,
Roton Ko Hasaana Aata Hai Tumhein,
Roothe Ho Tum Na Jaane Kis Baat Par,
Wo Baat Kyo Nahi Bataate Ho Humein,

Tumhare Roothne Se Jaan Jaati Hai Humari,
Jab Se Tanha Hein Yaad Aati Hai Tumhari,
Tum To Kab Ke Bhula Chuke Ho Sanam
Phir Har Roj Kyo Yaad Aate Ho Humein,

Hum Jeene Ke Bahaane Marte Raheinge,
Hum Pyar Tumse Sada Karte Raheinge,
Pyar To Tum Bhi Humse Bahut Karte Ho,
Phir Kyo Har Roj Sataate Ho Humein...!!!

AVTAR RAYAT

javascript:void(0)

***Dil Ki Dhadkan***


Aye Jaan...

Apne Dil Ki Dhadkan Mein Basa Lo Mujhko
Bikhar Na Jaayein Kahin Aakar sambhaalo Mujhko,
Mera Pyar Hai Roushan Chaandni Jaisa...
Apne Chaand Se Maathe Pe Saza Lo Mujhko,

Tumhari Mohabat Mein Jal Na Jaayein Kahin,
Humein Sambhaalo Khaak Hone Se Bacha Lo Mujhko,
Mere Sabar Ka Tum Kabhi Imtehaan Na Lena,
Tumhari Chahat Mein Doobe Hein...
Bas...Apna Bana Lo Mujhko...!!!

AVTAR RAYAT

***Le Chuke Ho Chain Mera***


Aye Jaan...

Le Chuke Ho Chain Mera,
Ab Dil Ke Qareeb Rakhna,
Kar Ke Paraya Dunia Se Kabhi,
Khud Se Door Na Rakhna,

Tumhara hi Bas Khayal Hai Ab,
Tumhari Hi Dil Mein Yaad,
Ab Saath Na Kabhi Chhute Apna,
Khuda Se Yehi Hai Fariaad,

Be-chainian Dil Mein Rehti Hein,
Din Raat Aahein Bharte Hein,
Bin Tere Ab To Aye Sanam,
Hum Har Pal Jee Ke Marte Hein,

Tum Jo Le Chuke Ho Dil Mera,
Mujhe Dil Ke Qareeb Rakhna,
Karke Paraya Dunia Se Kabhi...
Mujhe Khud Se Door Na Rakhna...!!!

AVTAR RAYAT

***Gam Ke Tufaano Mein***


Yaaro...
Gam Ke Tufaano Mein,
Khushian Talaash Karte Hein,
Agar Humein Pyas Lage..To..
Nadian Talaash Karte Hein,
Yahan To Log Dhoondte Hein,
Khoobian Apne Aap Mein,
Hum To Yahan Mein Aye Dosto
Apni Kamian Talaash Karte Hein...!!!

AVTAR RAYAT

***Tanha Se The Dunia Ki Bheed Mein***


Tanha Se The Dunia Ki Bheed Mein,
Socha Koyi Apna Nahi Takdeer Mein,
Par Jis Din Dosti Huyi Aapse To Laga,
Kuch To Khaas Tha...
Mere Haath Ki Lakeer Mein...!!!

AVTAR RAYAT

***Akele Tanhayi Mein Sona Chahte Hein***


Akele Tanhayi Mein Sona Chahte Hein,
Jeet Kar Apna Sab Khona Chahte Hein,
Dum Ghut Raha Hai Roz Siskiyon Mein,
Jee Bhar Ke Aaj..Rona Chahte Hein,
Chahat Nahi Zannat Mein Ashiyane Ki,
Bas Aapke Dil Mein Ek Kona Chahte Hein,
Aane Wale Waqt Mein Bane Mohabat Ka Phool,
Beej Aisa Aapke Dil Mein Bona Chahte Hein,
Bhatak Ke Lahron Se Jo Le Ayi Hai Bhanwar Tak,
Khud Us Kasti Mein Apne Ko Dubona Chahte Hein,
Raat Jaag-Jaag Ke Guzre Wo Phoolon Ki Sez Kya,
Neend Aa Jaye Kanton Par Bhi...
Aye Dost...Aisa Bichhauna Chahte Hein...!!!

AVTAR RAYAT

***Gar Tera Saath Na Milta***


Gar Tera Saath Na Milta O Mere Humdum,
To Kab Ke Be-Maut Mar Gaye Hote,

Andheri Raahon Mein Tum Chale Ho Saath,
Warna In Andheron Se Dar Gaye Hote,

Kabhi Uthkar Gire To Kabhi Girkar Uthe,
Tum Na Sambhalte To Bikhar Gaye Hote...

Meri Pehchan Ban Kar Mere Sath Rahe Ho,
Bin Tumhare Na Jaane Kidhar Gaye Hote,

Kayi Baar Mere Ashqon Ko Sambhala Hai Tumne,
Warna Ye Ankhon Se Kab Ke Beh Gaye Hote,

Sath Rehkar Har Pal Ko Jeena Seekha Hai Tumse,
Warna Wo Anmol Pal Zindagi Se Bikhar Gaye Hote...!!!

AVTAR RAYAT

***Zindagi Se Khelne Walon Ke Liye***


Zindagi Se Khelne Walon Ke Liye...
Dil To Ek Khilona Hai Dil Behlane Ka,
Ye Bhar Jaaye Ek Se To...
Mil Jata Hai Kisi Aur Deewane Ka...!!!

AVTAR RAYAT

***Zindagi Se Khelne Walon Ke Liye***


Zindagi Se Khelne Walon Ke Liye...
Dil To Ek Khilona Hai Dil Behlane Ka,
Ye Bhar Jaaye Ek Se To...
Mil Jata Hai Kisi Aur Deewane Ka...!!!

AVTAR RAYAT

***Jiwan Ke Is Tanha Safar Mein***


Suno Jaan...

Jiwan Ke Is Tanha Safar Mein...
Un Lamhon Ko Mitayein Kaise,
Jaane Se Pehle Ye To Bata...
Main Dilse Tujhko Bhulaon Kaise,

In Aankhon Mein Pyar Ka...
Diya Jo Tumne Tha Roshan Kiya
Us Jalte Diye Ki Roshni Ko...
Apne Haathon Se Bujhaayun Kaise,

Tum Ne Hi Kaha Tha Ke...
Akele Tanha Jiya Nahi Karte,
Phir Tanha Kyo Chhod Gaye...
Ab Is Dil Ko Samjhaon Kaise,

Chaahton Ke Sapne Liye
Aur Dukhon Ki Sugaat Liye,
Apne Is Jeevan Ko Akele...
Tu Hi Bata Main Bitaayun Kaise.
O Jaan...
Tu Hi Bata Main Bitaayun Kaise...!!!

AVTAR RAYAT

***Aadat Si Ho Gayi Hai***

Dosto...

Ab To Aadat Si Ho Gayi Hai...
Is Dil Ko Dard Sehne Ki,
Apne Hi Zakhmo Mein...
Doob Kar Rehne Ki,
Khamosh Tanhai Mein Hi...
Ab Ye Dil Lagta Hai,
Na Pukare Koyi Humein...
Nigaah Uthane Se Bhi...
Dar Darta Hai...!!!

AVTAR RAYAT

***Meri Jaan-Zindgaani Ho Tum***

Suno...
Meri Jaan-Zindgaani Ho Tum,
Roop Nagar Ki Rani Ho Tum,
Zannat Ke Behte Jharno Ka,
Thanda Meetha Paani Ho Tum,
Main Hoo'n Jalte Suraj Jaise,
Ek Shaam Suhaani Ho Tum,
Dunia Aankhein Mal-Mal Dekhe,
Sar Se Paw Tak Hairaani Ho Tum,
Aapko Pakar Ye DiL Naaz Karta Hai,
Mere Sapno Ki Maharani Ho Tum...!!!

AVTAR RAYAT

***Meri Jaan-Zindgaani Ho Tum***

Suno...
Meri Jaan-Zindgaani Ho Tum,
Roop Nagar Ki Rani Ho Tum,
Zannat Ke Behte Jharno Ka,
Thanda Meetha Paani Ho Tum,
Main Hoo'n Jalte Suraj Jaise,
Ek Shaam Suhaani Ho Tum,
Dunia Aankhein Mal-Mal Dekhe,
Sar Se Paw Tak Hairaani Ho Tum,
Aapko Pakar Ye DiL Naaz Karta Hai,
Mere Sapno Ki Maharani Ho Tum...!!!

AVTAR RAYAT

***Apne Hothon Par Sajana Chahte Hein***

Apne Hothon Par Sajana Chahte Hein,
Tujhe Saari Umar Gungunana Chahte Hein,
Apne Aansu Tere Daaman Par Girakar,
Boond Ko Moti Banaana Chahte Hein...!!!

AVTAR RAYAT

***Tumhein Nazar Na Lage Zamaane Ki***


Tumhein Nazar Na Lage Zamaane Ki,
Zaroorat Hai Tumhein Sabse Chipaane Ki,
Aarzoo Hai Ki Tum Humare Ban Jaayo,
Bahut Hasrat Hai Tumhein Apna Banaane Ki...!!!

AVTAR RAYAT

***Bewafa Ka Intezaar Karke***98 Last


Bewafa Ka Intezaar Karke...
Kuchh Nahi Milta,
Kisiki Raah Mein Aankhein Bichha Kar...
Kuchh Nahi Milta,
Rang Badlne Wale Insaan Se Dil Laga Kar...
Kuchh Nahi Milta,
Koyi Bhi Jahan Luat Kar Aata Nahi Aansoo
Bahaane Se,
Kisi Ki Yaad Mein Dil Ko Rula Kar...
Kuchh Nahi Milta...!!!

AVTAR RAYAT

***Hum Chup-Chaap Raheinge***


Hum Chup-Chaap Raheinge...
Tum Faisla Badal Ke Dekh Lo,
Hum Isi Shehar Mein Raheinge...
Tum Aashiana Badal Ke Dekh Lo
Tum Mere Bagair O Sanam..
Chain Paayoge Kis Tarah,
Hai Ijazat Tumhein..Jisse Chahe...
Dil Laga Ke Dekh Lo,
Jab Chaaho Hum Chale Aayeinge...
Saare Bandhan Tod Ke,
Bas Do Kadam Aap Bhi...
Humari Taraf Badha Ke Dekh Lo...!!!

AVTAR RAYAT

***Door Jaakar Tum Sataayoge Humko***

Door Jaakar Tum Sataayoge Humko,
Par Kabhi Bhool Na Paayoge Humko,
Soch Lena Kya Haal Hoga Tumhara...
Jab Gairon Ki Bahon Mein Paayoge Humko...!!!

AVTAR RAYAT

***Aye Mere Humnasheen***


Aye Mere Humnasheen Chal Kahin Aur Chal,
Is Chaman Mein Ab Tera Guzaara Nahi,
Baat Hoti Gulon Tak To Seh Lete,
Ab To Kaaton Pe Bhi Haq Humara Nahin...!!!

Aaj Aaye Ho Aur Kal Chale Jaayoge,
Ye Mohabat Ko Meri Gawaara Nahi,
Umar Bhar Ka Sahaara Gar Ban.na To Bano,
Chaar Din Ka Sahaara..Humein Gawaara Nahi...!!!


AVTAR RAYAT

***Mujhe Bhi Pila De Saakia***


Mujhe Bhi Pila De Saakia...
Sabko Pilaane Ke Baad,
Baat Matlab Ki Karunga...
Hosh Aane Ke Baad,
Zindagi Mein Do Hi Pal...
Mujh Pe Guzre Hein Mushkil,
Ek Tere Aane Se Pehle...
Ek Tere Jaane Ke Baad..!!!

AVTAR RAYAT

***Hoon To Khafa Tum Se***


Hoon To Khafa Tum Se...
Par Jaane Phir Bhi Kyo,
Na Chaah Kar Bhi Tumhein Chahna...
Acchha Lagta Hai,

Haqikat Se Hein Bahut Door...
Ye Maloom Hain Humein,
Par Jaan Ke Anjaan Rehna...
Acchha Lagta Hai,

Aadat Nahi Humein Rone Ki...
Phir Bhi Tanhai Main..Tumein...
Yaad Karke Kuch Der Rona...
Acchha Lagta Hai,

Tum Mere The, Mere Rahoge...
Kuch Pal Tere Khwabon Mein,
Is Tareh Khoye Rehna...
Acchha Lagta Hai...!!!

AVTAR RAYAT

***Itne Faasla Badhaane Ki Zarurat Kya Thi***

Aye Jaan...
Itne Faasla Badhaane Ki Zarurat Kya Thi,
Mujhse Rooth Kar Jaane Ki Zarurat Kya Thi,

Ab Jo Mujhse Rooth Kar Udaas Rehte Ho,
Apna Haath Chhudaane Ki Zarurat Kya Thi

Dunia Kab Kisi K Gam Ko Apna Gam Samajhti Hai,
Tujhe Apna Gam Dunia Ko Dikhane Ki Zarurat Kya Thi,

Hum Aaj Tak Is Baat Ko Nahi Samajh Paaye,
Jab Sath Tumhare Mera Sath Tha...To...
Tumhein Zamaane Ki Zarurat Kya Thi...!!!

AVTAR RAYAT

***Jab Tere Sheher Mein Raha Karte The***


Jab Tere Sheher Mein Raha Karte The,
Hum Bhi Chup-Chaap Jiya Karte The,
Aankhon Mein Pyaas Huwa Karti The,
DiL Mein Toofaan Utha Karte The

Log Aate The Shayari Sunne,
Hum Teri Baat kiya karte The,
Ghar Ki Diwaar Sajane Ki Khaatir,
Hum Tera Naam Likha Karte The

Aaj Teri Tasveer Dekhi To Yaad Aaya.
Kabhi Hum Bhi Mohabat Kiya Karte The...!!!

AVTAR RAYAT

***Kash Kabhi Hota Ye Mere Ikhtiyar Mein***


Kash Kabhi Hota Ye Mere Ikhtiyar Mein
Main Rang Deta Tujhe Apne Pyar Mein,
Main Itna Pyar Deta Tujhe O Jaane Jaana,
Tum Khud Ko Bhula Dete Mere Aitbar Mein,
Tum Jo Mujhe Bulaate Mulaqat Ke Liye,
Bechain Ho Ke Phirte Mere Intezar Mein,
Main Der Se Jo Aata Naraz Ho Ke Tum...
Har Baat Ka Jawab Dete Inkaar Mein,
Tum Jo Rooth Jate Mujhse Kisi Baat Pe...
Main Tumhein Manaata Bade Pyar Se,
Maan Kar Tum Mujhse Sirf Ye Kehte...
Hai Nahi Koyi Kami "Jaan" Tere Pyar Mein...!!!

AVTAR RAYAT

***Bahut Tadfaate Hein Faasle***

Aye Dost...
Maana Ke Bahut Tadfaate Hein Faasle,
Maana Ke Bahut Sataate Hein Faaale,
Magar Faaslon Se Bhi Dil Lagaana Seekho...
Kyo Ke Pyar Ki Ehmiyat Batate Hein Faasle...!!!

AVTAR RAYAT

***Tumhein Bhi Humse Dilse Mohabat Ho***


Tumhein Bhi Humse Dilse Mohabat Ho To...
Kya Baat Hai,
Bechaini Mein Hum Jaise Aapke Bhi Halaat Ho To...
Kya Baat Hai,
Dil Ki Chahat To Khawab Jaga Hi Deti Hai,
Magar Aise Mein Kismat Bhi Ho Sath To...
Kya Baat Hai,
Meri Tanhaiyan Karti Hein Tumhein Sada Yaad
Tumhein Bhi Meri Itni Hi Zarurat Ho To...
Kya Baat Hai,
Aankhon Se Pata Chal Jata Hai Dil Ke Dard Ka,
Aankh Se Agar Aansu Bhi Tapka Karein To...
Kya Baat Hai,
Neend To Dard Ke Bistar Pe Bhi Aaa Sakti Hai..Par...
Aye Jaan...Tumhari Aaghosh Mein Mera Sar Ho To...
Kya Baat Hai...!!!

AVTAR RAYAT

***Mere Tohfo'n Ko Sambhal Kar***

O Jaan...

Mere Tohfo'n Ko Sambhal Kar,
Tum Rakh Na Sakoge,
Warna...
Tumhein Abhi De Doon...
Apne Jism Se Dil Nikaal Kar...!!!

AVTAR RAYAT

***Wo Kaun Hai Shaksh***

Wo Kaun Hai Dost...
Jiska Tume Intezaar Hai,
Kya Us Shaksh Ko Dhoond Rahe Ho...
Jis Se Tumein Pyar Hai...!!!

AVTAR RAYAT

***Meri Rooh Mein Aise Sama Gayi Tu***97 Last

Meri Rooh Mein Aise Sama Gayi Tu
Ab Khyalon Mein Ik Khayal Hai Tu,
Tere Jaisa Jahan Koyi Nahi Dekha,
Tu Hai Sabse Anmol Bemisal Hai Tu,
Mujh Ko Pagal Bana Diya Tumne,
Ishq Ka Aisa Kamal Hai Tu,
Tu Mohabat Hai Aarzo Hai Meri,
Meri Zindagi Ki Dhal Hai Tu,
Sari Dunia Ko Jeet Lu Jis Se,
Paas Mere Aisi Misaal Hai Tu,
Tere Dam Se Hai Pyar Zinda Mera,
Meri Talash, Mera Sansar Hai Tu...!!!

AVTAR RAYAT

***Tumse Bas..Mujhe Yehi Hai Kehna***


O Jaan....

Tumse Bas..Mujhe Yehi Hai Kehna,
Umar Bhar..Mere Ban Ke Rehna,

Tumse Naata Hai Wafaaon Ka,
Jaise Hawa Aur Fizaaon Ka,

Jaise Hoton Se Duayon Ka,
Jaise Dhoop Se Chhaayon Ka,

Jaise Jism Se Rooh Ka,
Jaise Phool Se Khushboo Ka,

Ye Bandhan Tum Sada Nibhana,
Mujhe Kabhi Tanha Chhod Na Jana,

Tujhse Bas Mujhe Yehi Hai Kehna,
Umar Bhar Mere Ban Ke Rehna...!!!

AVTAR RAYAT

***Kisi Ko Chaaho***

Dosto...

Kisi Ko Chaaho To...
Is Andaaz Se Chaaho..Ke...

Jab Bhi Kabhi Use Kisi Se
Mohabat Ho...
To Tumhari Yaad Aa Jaaye...!!!

AVTAR RAYAT

**Mera Sab Kuch Tum Ho***


Aye Jaan...

Mera Sab Kuch Tum Ho...
Par...
Main Kuch Bhi Nahi Hoo'n
Tum Bin...

Ye Meri Zindagi Tum Bin
Guzar To Jayegi,
Par...
Main Jee Na Payunga
O Jaan Tum Bin,

Mera Ghar Waise To
Phoolon Ka Gulistan Hai,
Par...
Is Mein Baharon Ki Kami Hai
O Jaana Tum Bin,

Mujhe Rab Ne Zindagi Mein
Sab Kuchh Diya...
Par...
Main Phir Bhi Adhoora Hu
O Shona Tum Bin,

Main Phir Bhi Adhoora Hu
O Shona Tum Bin...!!!

AVTAR RAYAT

***Ek Din Un Se Achanak***


Ek Din Un Se Achanak
Mulaqat Ho Gayi...
Aur Unhone Poochha...

Ab Bhi Tum Phool Kharidte Ho...?
Maine Kaha...
Tere Baad In Mein Khushboo
Nahi...

Unhone Phir Poochha...
Ye Udaasi Kyo Hai..?
Maine Kaha...
Tere Gam Ke Siwa Ab Kuch
Bhi Nahi...

Unhone Kaha...
Mere Baad Kisi Se Mohabat Ki...
Maine Kaha...
Ye Lafz Ab Meri Zindagi Mein
Shaamil Nahi...

Unhone Phir Kaha...
Zindagi Kya Hai...?
Maine Kaha...
Tere Siwa Kuchh Bhi Nahi...!!!

AVTAR RAYAT

***Tum Saath Nibhaya Karna***

Aye Jaan...
Aandhi Ho Chaahe Tufaan Ho...
Tum Saath Nibhaya Karna,
Mere Chehre Pe Apni...
Palkon Ka Saya Karna,

Raah Dekheinge Har-Roj...
Subeh-Shaam Tumhaari
Kabhi Jaldi To Kabhi...
Der Se Aaya Karna,

Daant Lena Humein Chaahe...
Koyi Baat Nahi,
Par Akele Mein Meri Jaana..
Gale Laga Ke,Manaya Karna,

Jaan Jaayeinge Tumein,
Khusboo Se Tumhari,
Tum Peeche Se Aakar Meri,
Aankhon Ko Chupaya Karna,

Jaagna Chaahein To
Raat Bhar Karna Baatein,
Neend Aaa Jaaye To
Seene Pe Sulaaya Karna...
O Jaan...
Neend Aaa Jaaye To
Seene Pe Sulaaya Karna...!!!

AVTAR RAYAT

*** Mujhse Zindagi Bhar Tum Wafa Karna***

O Jaan...

Mujhse Zindagi Bhar Tum Wafa Karna,
Dil Se Kabhi Na Mujhe Tum Juda Karna,

Mere Jiwan Mein Bahar Ban Ke Aaye Ho,
Dil Ke Aangan Mein Sada Mahka Karna,

Bhool Chuka Hu Tere Pyar Mein Dunia Ko,
Nahi Chahat Tere Siwa Kisike Didar Karna

Meri Har Khushi Ka Tum Sahara Ho Sanam...
Ab Mumkin Nahi Tujhe Dil Se Juda Karna...!!!

AVTAR RAYAT

***Mujhe Jeene Ki Umeed Dobara De Do***


Mujhe Jeene Ki Umeed Dobara De Do,
Meri Doobti Kashti Ko Kinara De Do,
Hum Dard Ke Sahil Pe Tanha Khade Hein,
Aake Apni Baahon Ka Sahaara De Do,
Tumhara Daaman To Bhara Hai Sitaron Se,
Mujhe Us Mein Se Sirf, Ek Sitaara De Do,
Chand Lamhe Tujhe Dekhne Ki Hasrat Hai Bas,
Meine Kab Kaha Waqt Apna Sara De Do...!!!

AVTAR RAYAT

***Humari Yaadon Ko Dil Se***


Humari Yaadon Ko Dil Se...
Mita Kyon Nahin Dete,
Zindagi Se Jo Ja Chuke...
Use Bhula Kyon Nahin Dete,

Hum Muzrim Kyo Hein Tumhare...
Jara Ye To Batayiye,
Soch Mein Bhi Pade Ho...
Phir Saza Kyon Nahin Dete,

Dil Pe Jo Zakham Hein...
Ye Nishaani Hai Tumhari,
Gar Tumhare Paas Hai Ilaaz...
To Dawa Kyon Nahin Dete,

Humne Mohabat Mein Sada...
Tujhse Wafaayein Ki Hein...
Phir Humari Un Wafaaon Ka...
Sila Kyon Nahin Dete,

Tumhein Mujhse Mohabat Hai...
Ye To Hum Jaante Hein,
Par Ye Baat Apne Labon Se...
Bata Kyon Nahin Dete,

Anmol Khazanon Se Bhari Hai...
Ye Muskrahatein Tumhari,
Thoda Sa Inhein Mujh Pe...
Luta Kyon Nahin Dete,

Mohabat Ki Aag Lagaai Hai...
Jo Dil Mein Humare,
Wo Aag Aaj Khud Aakar...
Bujha Kyon Nahin Dete,

Ek Arsa Huya Chain Se...
Humein Soye Huye O Dilbar...
Mere Chain Ko..Meri Neend Ko...
Phir Se..Lauta Kyon Nahin Dete...!!!

O Jaan...Phir Se...
Lauta Kyon Nahin Dete...!!!

AVTAR RAYAT

***Aye Dost..Izazat De Mujhe***


Aye Dost..Izazat De Mujhe...
Ab Tujhse Door Jaana Hai,
Teri Galiyon Se Tere Dil Se...
Ho Ke Majboor Jaana Hai

Ye Nahi Hai Tere Pyar Mein...
Hum Aahein Nahi Bharte,
Kuchh Majboorian Hein Humari...
Warna Ye Faisla Nahi Karte,

Ab Bhi Yaad Hai Mujhe..Jab...
Tujhe Pehli Baar Dekha Tha,
Muskuraaye The Tum Bhi Tab...
Humne Jab Mud Ke Dekha Tha,

Beet Gaye Wo Pal Ab Saare...
Rishton Mein Kadwahat Hai,
Khata Meri Bhi Nahi Hai...
Na Tujhse Koyi Shikayat Hai,

Bhulaana Tujhe Asaan Nahi...
Hum Ye Bhi Maante Hein,
Umar Bhar Ki Ye Saza Hai...
Hum Ye Bhi Jaante Hein,

Ja Rahe Hein Door Tujhse...
Peechhe Se Awaz Na Dena,
Bhari Hein Aankhein Aasuon Se...
Bas...Jaate Huye Sailaab Na Dena...!!!

O Jaan.....
Jaate Huye Sailaab Na Dena...!!!!!!!

AVTAR RAYAT

***Tere Liye Marne Ko Taiyar Hu***

Main Tere Liye Marne Ko Taiyar Hu,
Agar Jeene Ka Qaraar Do Mujhe,
Mein Rone Ko Taiyaar Hu,
Agar Hansne Ki Bahaar Do Mujhe,
Mein Deewali Mana Sakta Hu,
Agar Tum Luxmi Udhar Do Mujhe,
Mein Aasmaan Ko Chhoo Sakta Hu,
Agar Kahin Se Pankh Udhaar Do Mujhe,
Main Had Se Bhi Jyada Chaahuga Tujhe...
Agar Tum Be-Hud Pyar Do Mujhe...!!!

AVTAR RAYAT

***Jhoothe Khawab***

Khawab Jhoothe Kissi Ko Dikhaya Nahi Karte,
O Jaan...Chahat Jaga Kar Kisiko Sataya Nahi Karte,
Ek Baar Kisiko Aap Ne Keh Kar Apna,
Daaman Phir Us Se Chhudaya Nahi Karte,

Kisike Intezaar Se Bhala Kya Hoga Hassil,
Anne Ka Keh Kar Bhi Jo Aaya Nahi Karte,
Rakhte Ho Jo Dard Bhara Dil Seene Mein,
Doosro Ka Dil Phir Kabhi Dukhaya Nahi Karte,

Do Kadam Sath Chal Kar Jo Juda Ho Jaayein,
Aise Logon Ko Humsafar Banaya Nahi Karte,
Kis Tarha Guzarti Hogi Zindagi Un Logon Ki....
Mohabbat Kar Ke Phir Un Ko Jalaya Nahi Karte...!!!

AVTAR RAYAT

***Jhoothe Khawab***

Khawab Jhoothe Kissi Ko Dikhaya Nahi Karte,
O Jaan...Chahat Jaga Kar Kisiko Sataya Nahi Karte,
Ek Baar Kisiko Aap Ne Keh Kar Apna,
Daaman Phir Us Se Chhudaya Nahi Karte,

Kisike Intezaar Se Bhala Kya Hoga Hassil,
Anne Ka Keh Kar Bhi Jo Aaya Nahi Karte,
Rakhte Ho Jo Dard Bhara Dil Seene Mein,
Doosro Ka Dil Phir Kabhi Dukhaya Nahi Karte,

Do Kadam Sath Chal Kar Jo Juda Ho Jaayein,
Aise Logon Ko Humsafar Banaya Nahi Karte,
Kis Tarha Guzarti Hogi Zindagi Un Logon Ki....
Mohabbat Kar Ke Phir Un Ko Jalaya Nahi Karte...!!!

AVTAR RAYAT