Tuesday, February 28, 2012

***Maa Ke Haath Ka Saya***


O Maa.........

Maa Ke Haath Ka Saya Hai Zannat Ki Bahaar,
Bachpan Ki Baatein Aaz Phir Yaad Aayi ik Baar,

Jab Maa Ko Bola Tha, Maine Maa Pehli Baar,
Maa Ki Aankhon Mein Tha, Be-Intha Pyar,

Jab Paida Huya Tha, To Kuch Nahi Tha Main,
Maa Ke Aashirbaad Se, Aaz, Hoon Bahut Kuchh Main,

Laalach Kuch Nahi Hota Kabhi, Maa Ko Magar,
Achha Hota Maa Ko De Du, Dil Tohfa Mein Agar,

Maa Ko Chhod Dete Hein, Kuchh Abhaage Log,
Zindagi Mein Unko Nahi Milta Sukh Kabhi, Kisi Roz,

Kismat Waale Hi Aksar, Maa Ke Pyar Ko Paate Hein,
Chaahe Kuchh Ho Jaaye, Wo Apna Farz Nibhaate Hein,

Maa Ne Khud Dhoop Seh-Kar, Chhao'n Ka Sukh Diya Hai,
Phir Bhi Maa Ko Humne, Jaane Kitna Dukh Diya Hai,

Kash Qurbaan Kar Du Main, Sab-Kuchh Maa Ki Sada Par,
Mujhko Hamesha Pyar Kare Wo, Meri Issi Ada Par,

Aankho Se Na Door Karna, Khuda Ki Is Tasvir Ko,
Saath Rakh Kar Maa, Tum Bana Lo Apni Taqdir Ko,

Maa Ki Aankho Mein Kabhi, Tum Aansoo Na Dena,
Kar Ke Maa Ki Sewa, Maa Se Sada Duya Lena...!!!

AVTAR RAYAT

No comments:

Post a Comment