Tuesday, January 31, 2012

***Shama Ka Kissa***

Dosto...
Tum sab meri baat suno,
Ik kissa tumhein sunaata hoon
Ye kissa nahi zamane ka
Ye kissa hai parwaane ka
Jo pal pal jeeta marta tha
Jo pyar shamma se karta tha
Har baat use maloom to thi
Ek baat magar wo bhula baitha
Shamma ko haasil karne mein
Khud apna aap gwaa baitha
Yu ishq ki had se guzarne mein
Parwane k jal marne mein
Ab jaagti hai na soti hai
Shamma ab har pal roti hai...!!!35 Last

AVTAR RAYAT

No comments:

Post a Comment