Monday, June 25, 2012

***Apne Chehre Ki Rangat Bhi***


Apne Chehre Ki Rangat Bhi
Dhundli Si Nazar Aati Hai
Jab Aayine Mein Uski
Parchhayi Nazar Nahi Aati Hai

Dunia Maa Keh Ke
Pukaarti Hai Us Shakas Ko
Jiske Kadmo Mein
Jannat Nazar Aati Hai

Har Khushi Haasil Karke
Jo Khud Se Hi Khush Hota Hai
Nadaan Hai Wo Jise Maa Ki
Dua Nazar Nahi Aati Hai

Kisiko Hai Daulat Se Mohobat
Kisi Ko Aish-O-Aram Se
Kisiko Shohrat Se Hai Mohobat
Kisi Ko Apne Mukam Se

Tamnnao Ki Bheed Mein
Gumrah Hai Wo Inasan
Jise Apne Hi Wajood Ki
Parchhayi Nazar Nahi Aati Hai

Thokar Lagte Hi Jisne
Godi Mein Hume Utha Liya
Dunia Ki Buri Nazar Se Jisne
Daaman Mein Chupa Liya

Humari Ek Muskrahat Ki Khatir
Har Gam Seene Mein Chhupa Liya
Khud Mar-Mar Ke Jisne
Dunia Mein Rehna Sikha Diya

Kyo Aulad Ko Us Maa Ki Wo
Tasvir Nazar Nahi Aati Hai
Uske Sine Mein Dafn Khushio Ki
Parwah Kyo Nazar Nahi Aati Hai

Dunia Maa Keh Ke
Pukaarti Hai Us Shakas Ko
Jiske Kadmo Mein
Jannat Nazar Aati Hai...!!!

AVTAR RAYAT

No comments:

Post a Comment