***Chithi & Mobile***
Aye Khuda Aisi Kya Khata Ho Gayi...
Jo Khat Ki Duniya Aaj Hawa Ho Gayi.
Wo Bhi Waqt Tha Jab Rehta Tha...
Nazro Ko Daakiye Ka Intezaar,
Chithi Laayega...Jisme Likha Hoga,
Apno Ka Jaane Kitna Gehra Pyar...
Tab Ek Chhote Se Kaagaz Mein Hi...
Simt Jata Tha Ye Sara Sansaar...
Kuchh Din Beetne Ke Baad...
Fir Rehta Tha Daakiye Ka Intezar...
Agar Dubara Kahi Chithi Nahi Aati,
To Purani Hi Pad Lete The Kayi Baar...
Dobara Phir Jab Chithi Padte The...
Milta Tha Pehle Jaise Hi Khumaar,
Nasha Aur Bhi Tab Bad Jata Tha...
Jaise Saamne Ho...Apna Pardesi Pyar,
Ab Pehle Jaisa Waqt Nahi...
Mobile Ki Har Taraf Hawa Ho Gayi Hai
Kaano'n Pe Bazti Hein Isi Ki Ghantiya'n...
Dil Ki Dhadkane Jaane Kaha'n Kho Gayi Hai,
Aaj Kisi Ke Paas Likhne Waqt Nahi Hai....
Chithio'n Mein Baato Ke Nag Pirone Mein,
Par Jo Pyar Tha Us Kagaz Ke Tukdo'n Mein...
Wo Kaha'n Hai Is Chhote Se Khilone Mein..!!!
AVTAR RAYAT
No comments:
Post a Comment