Thursday, December 19, 2013

***Gam Na Karna***

Aye Jaan...

Aapse Bichhad Ke Mar Gaye To Gam Na Karna,
Hum Kaam Kuchh Aisa Kar Gaye To Gam Na Karna,

Aapki Masoom Yaadon Ke Diye Jalaate-Jalaate,
Agar Humara Ghar Jal Jaaye To Gam Na Karna,

Humne Maangi Hai Dua Aapke Liye Sada Phoolon Ki,
Humara Daaman Kaanton Se Bhar Jaaye To Gam Na Karna,

Khuda Gawah Rahega Humari Wafaon Ka Phir Bhi,
Koyi Ilzaam Humare Sar Aaye To Gam Na Karna...

Aye Jaan...
Koyi Ilzaam Humare Sar Aaye To Gam Na Karna...!!!

AVTAR RAYAT Avi

No comments:

Post a Comment