Friday, November 8, 2013

***Aapko Paana Chahte Hein,***

Suniye...

Kuchh Armaan Hein Humare,
Ye Bataana Chahte Hein,
Humari Mohabbat Ho Aap,
Aapko Paana Chahte Hein,

Toot Ke Jaane Kitni Baar Jiye,
In Gamon Ke Saayio'n Mein,
Izaajat Ho..To Saath Aapke,
Kismat Aajmaana Chahte Hein,

Andhero'n Ke Daur Rahe Bahut,
Aur Waqt Bhi Raha Bereham,
Aaj Is Bhawar Se Nikal Kar...
Aapki Bahon Mein Samaana Chahte Hein,

Khushion Se Bhara Ghar Ho Apna,
Umeedo'n Ki Ho Satrangi Zameen,
Ek Aaisa Mohabbat Bhara Hum,
Aashiyana Banana Chahte Hein,

Aye Haseen Adaayo'n Se Bhare...
O Mere Jaanam Qabool Kar Lijiye,
Ab Sang Aapke Hum Ye...
Jeewan Bitaana Chahta Hein...
...
Ab Sath Aapke Hum Ye...
Jeewan Bitaana Chaahte Hein...!!!

AVTAR RAYAT Avi

No comments:

Post a Comment