Friday, August 30, 2013

***Tere Bin Kya Hai Zindagi Sanam***

Tere Bin Kya Hai Zindagi Sanam,
Aa Bhi Jao Tumhe Meri Kasam,

Intezaar Mein Beete Kitne Lamhe,
Chand Bhi Ho Gaya Madham-Madham,

Raat Bhar Ki Jaagi Hain Aankhein,
Palkon Par Ab Ruki Hai Shabnam,

Aawaaz Dete Hein Dil Ke Zakham,
Tera Pyar Hi Hai Mera Marrhum,

Din-Raat Hai Bas Tanhayi Ka Dard
Yeh Kaisi Ghutan Ye Kaisa Gum,

Ho Wajood Mein Ho Rooh Mein Meri,
Jo Tu Nahi To Na Hum Hein Hum...

Tere Bin Kya Hai Zindagi Sanam
Aa Bhi Jao Tumhe Meri Kasam,..!!!

AVTAR RAYAT Avi

Mere Jism Mein Lahu Ban Ke

Aye Jaan...

Mere Jism Mein Lahu Ban Ke...Samaaye Ho Tum
Ban Ke Hasin Khwab...Jeewan Mein Chhaaye Ho Tum
Sirf Tum Hi Ho Mere...Aur Jahan Kya Hai Mera,
Tum Ibaadat Ho Meri...Meri Khudayi Ho Tum..!!!

AVTAR RAYAT Avi

Thursday, August 29, 2013

***Aapko Paana Zindagi Hai***

O Jaana...
Aapko Paana Zindagi Hai...
Aapko Khona Maut Meri,
Aapke Siwa Dunia Mein..
Koyi Aur Mera Saathi Nahi,

Maang Leinge Khuda Se...
Ya Chura Leinge Tumhein,
Kyoki...Aapsa Doosra Moti,
Uske Khazaane Mein Nahi...!!!

AVTAR RAYAT Avi

***Benqaab Ho Ke Na Nikla Kijiye***TAREEF***

Jara Suniye...
Benqaab Ho Ke Na Nikla Kijiye...
Kahin Nazar Na Lag Jaaye Insaano Ki...
Hum To Agaah Hi Aapko Kar Sakte Hein...
Kyoki...Bahut Buri Nazrein Hein Dewano Ki...!!!

AVTAR RAYAT

***Aaj Aapka Janam-Din..Hai Mere Dost***HAPPY BIRTHDAY***

Suniye...
Aaj Aapka Janam-Din..Hai Mere Dost,
Kya Dein Aapko Khaas..Tohfa Aye Dost,
Mile Zamaane Bhar Ki..Aapko Khushia'n,
Khuda Se Hai Dua..Humari Aye Dost,

Itni Si Hai Iltija Bas..Itna Hi Hai Kehna,
Rehna Mera Saath Sada..Sang Aye Dost,
Dil Mein Na Rakhna Koyi..Shikwa Ranj Apne,
Ho Jaaye Humse Koyi..Gar Khataa Aye Dost,

Nibhayeinge Dosti..Sath Raheinge Umar Bhar,
Karte Hein Dil Se Wada..Aapse Aye Dost,
Kabhi Kabhi Takraar Hai..To Kabhi Pyar Hai,
Yahi Dosti Ka Raha Hai..Tastoor Mere Dost...!!!

AVTAR RAYAT Avi

***O Jaan Meri...Zara Thehar Jaayo***

O Jaan Meri...Zara Thehar Jaayo,
Meri Zindagi..Teri Baahon Mein Hai,
Ye Jism Hai..Zamee'n Pe Mera...
Meri Rooh..In Hawaayo'n Mein Hai,

Tumhein Dekhein..Ya In Wadiyan Ko...
Ya Dekhein..Husn-o-Shabab Tera,
Tujh Mein Hai Wo Sab..O Mere Sanam...
Jo Nahi....In Fizaayon Mein Hai,

O Jaana...
Tujh Mein Hai Wo Sab..O Mere Khuda,
Jo Nahi....In Fizaayon Mein Hai,..!!!

AVTAR RAYAT Avi

***Hum Dunia Se Anjaan The***

Aye Jaan...

Hum Dunia Se Anjaan The,
Is Mohabat Mein Nadaan The
Haqikat Mein Aapne Badal Diya,
Warna Khoye Huye Aasmaan The,

Humari Zindagi Gulistan Ki
Pehle Lagti Thi Bejaan Si,
Aap Aaye Jiwan Mehak Utha
Warna Pehle Registaan Thi,

Aap Le Aaye Sitaron Mein
In Rang Birangi Baharo Mein
Sach..Aap Hi Ho Mere Khuda,
Aapse Ho Nahi Sakte Ab Juda...
O Jaana...
Aapse Ho Nahi Sakte Ab Juda...!!!

AVTAR RAYAT Avi

Watan Humara Misaal Mohabat Ki,

Dosto...

Watan Humara Misaal Mohabat Ki,
Tode Hai Sada Dewaar Nafrat Ki,
Humari Khush Naseebi Hai..
Jo Mili Zindagi Is Chaman Mein,
Bhula Na Sake Iski Khushboo
Kabhi Hum Saaton Janam Mein...!!!

*Happy Independence Day*

AVTAR RAYAT Avi

***HAPPY RAKSHA BANDHAN***

Ye Din Hi Kuchh Khaas Hai,
Behan Ke Hathon Mein...
Bhai Ka Haath Hai,
O Behna Tujhe Dene Ke Liye...
Mere Pass Kuchh Khaas Nahi,
Par
Tere Sukoon Ki Khatir Meri Behna,
Tera Bhai Hamesha Tere Sath Hai...!!!

HAPPY RAKSHA BANDHAN

AVTAR RAYAT Avi

***Aapka Chaand Sa Chehra***

O Jaan...

Aapka Chaand Sa Chehra...Sataane Laga,
Waqt Be-Waqt Khyaalon Mein Aane Laga,

Dil Ko Bahlaane Ki Surat..Nahi Hai Ab Koyi,
Hont Ke Hilte Hi Bas...Zikar Aapka Aane Laga,

Ghar Ho Ya Baahar...Ho Bazaar Ya Tanhaayi,
Yaad Aa Aa Ke Aapka Roop Ab Satane Laga,

Lab Ye Muskayein Ya Ho Band Humari Nigahen,
Chehre Pe Humare...Aapka Rang Nazar Aane Laga..
O Shona...
Chehre Pe Humare...Aapka Rang Nazar Aane Laga...!!!

AVTAR RAYAT Avi

***Humne Har Gum Ko...Khushi Mein Dhaala Hai***

Suniye...

Humne Har Gum Ko...Khushi Mein Dhaala Hai,
Humara Har Ek Chalan...Dunia Se Nirala Hai,
Log Jin Hadson Se...Marte Hein Aye Mere Dost,
Humein Unhi Hadson Ne Aaj Tak Paala Hai...!!!

AVTAR RAYAT Avi

***Deewane Hein Aapke...Ye Iqraar Karte Hein***

Deewane Hein Aapke...Ye Iqraar Karte Hein,
Kaise Kahein Aapse...Kitna Pyar Karte Hein,

Hai Chaaro Taraf Apne...Dunia Ki Bandishein,
Isliye Hum Chhup-Chhup Ke...Izhaar Karte Hein,

Adaayein Hein Bholi...Ye Sab Aap Samjhate Hein,,
Aapko Ye Bhi Pata Hai...Aapse Kitni Mohabat Karte Hein,

Aapke Husn Ki Sokhiyon Ne...Humein Kab Ka Loot Liya,
Aapki Yaadon Mein...Khud Ko Beqaraar Karte Hein,

Hai Ishq Aisa Marz Jo...Chhipaaye Nahi Chhipta Kabhi,
Isliye Nazrein Chura Kar...Aapka Deedaar Karte Hein..
Aye Jaan...
Isliye Nazrein Chura Ker...Aapka Deedaar Karte Hein...!!!

AVTAR RAYAT Avi

***Ab Soch Liya Aapse...Hum Juda Ho Hi Jayeinge***

Suniye...

Ab Soch Liya Aapse...Hum Juda Ho Hi Jayeinge,
Seh Liye Dukh Bade...Ab Dil Ko Na Tadpaayeinge,
Na Dena Awaaz...Aapko Kasam Hai Humari,
Pehle Gaye The Ruk...Ab Laut Ke Na Aayeinge,

Kayi Baatein Adhoori...Aise Hi Chhod Jaayeinge
Apne Dil Ka Dard Kabhi..Na Aapko Sunaayeinge,
Sochna Bas Bewafa...Daga De Gaye Humko,
Hum Bhi Apni Safaayi Mein...Na Kuchh Kehne Aayeinge,

Jaan Se Bhi Jiyaada Chaha...Kaun Aise Chaaheinge
Nafratein Bhi Aapki...Na Koyi Seh Paayeinge,
Logon Par Tha Aapko...Humse Jiyada Hi Bharosa,
Ab Logon Ko Bhala...Hum Kaise Samjhaayeinge,

Aapki Yaadon Ke Sang...Is Jeewan Bitaayeinge,
Thoda Sa Yaad To Hum...Aapko Bhi Aayeinge,
Bas Yaad Karke Humein..Aap Aansoo Na Bahaana,
Ab Ki Baar Un Motion Ko...Hum Chun.ne Nahi Aayeinge...
O Bhoolne Waale...
Ab Ki Baar Un Motion Ko...Hum Chun.ne Nahi Aayeinge...!!!

AVTAR RAYAT Avi

*** Khud Ko Zara Sa Aap Bhi...Be-Karaar Kar Lijiye***

O Jaana....

Khud Ko Zara Sa Aap Bhi...Be-Karaar Kar Lijiye
Jhootha Hi Sahi Par...Humse Pyar Kar Lijiye,

Dekh Kar Chaand Ko..Raat Bhar Humari Tarah,
Tadap Kar Aap Bhi...Kabhi Intezaar Kar Lijiye,

Jo Ho Jaayo Tanha...Dunia Ki Mehfil Mein,
Chhup Kar Humari Tasveer Ka...Deedaar Kar Lijiye,

Keh Na Paaye Honth...Kabhi Jo Baate Dil Ki,
Aankhon Se Un Jazbon Ka..Izhaar Kar Lijiye,

Saason Mein Basa Kar...Pyar Ka Ehsaas,
Apni Har Dhadkan Mein..Humein Griftaar Kar Lijiye,

Hai Waada...Aapka Saath Nibhaayeinge Ta-Umar
Sirf Ek Baar Humara...Bas Aitbaar Kar Lijiye...
O Jaan...
Sirf Ek Baar Humara...Bas Aitbaar Kar Lijiye...!!!

AVTAR RAYAT Avi

***Jaane Kitne Logon Ke Ehsaas***

Aye Dost...
Jaane Kitne Logon Ke Ehsaas...
Panno Pe Nazm Banke Utre,
Par Un Sab Mein Dard Ke Nishaan,
Unke Apne Nahi Lagte,
Nikle Hein Sunehari Alfaaz,
Aaj Jo Aapki Kalam Se,
Ye Alfaaz Kisi Indradhanush Se...
Kam Nahi Lagte....!!!

AVTAR RAYAT Avi

***"BIRTHDAY"Aaj Aapka Janam-Din..Hai Mere Dost,***

Suniye...
Aaj Aapka Janam-Din..Hai Mere Dost,
Kya Dein Aapko Khaas..Tohfa Aye Dost,
Mile Zamaane Bhar Ki..Aapko Khushia'n,
Khuda Se Hai Dua..Humari Aye Dost,

Itni Si Hai Iltija Bas..Itna Hi Hai Kehna,
Rehna Mera Saath Sada..Sang Aye Dost,
Dil Mein Na Rakhna Koyi..Shikwa Ranj Apne,
Ho Jaaye Humse Koyi..Gar Khataa Aye Dost,

Nibhayeinge Dosti..Sath Raheinge Umar Bhar,
Karte Hein Ye Wada..Aapse Aye Dost,
Kabhi Takraar Hai..To Kabhi Pyar Hai,
Yahi Dosti Ka Raha Hai..Tastoor Mere Dost...!!!

AVTAR RAYAT Avi

***Benqaab Ho Ke Na Nikla Kijiye***

Jara Suniye...
Benqaab Ho Ke Na Nikla Kijiye...
Kahin Nazar Na Lag Jaaye Zamaane Ki...
Hum To Agaah Hi Kar Sakte Hein Aapko...
Kyoki...Bahut Buri Nazrein Hein Dewaano Ki...!!!

AVTAR RAYAT

***Aapko Paana Zindagi Hai***

O Jaana...
Aapko Paana Zindagi Hai...
Aapko Khona Maut Hai Meri,
Aapke Siwa Is Dunia Mein..
Koyi Aur Mera Saathi Nahi,
Maang Leinge Khuda Se...
Ya Chura Lainege Tumhein,
Kyoki...
Aap Jaisa Koyi Doosra Moti,
Us Ke Khazaane Mein Nahi...!!!

AVTAR RAYAT Avi

***Mere Jism Mein Lahu Ban Ke Samaaye Ho Tum***

Aye Jaan...

Mere Jism Mein Lahu Ban Ke Samaaye Ho Tum,
Ban Ke Hasin Khwab Jeewan Mein Aaye Ho Tum,
Sirf Aap Hi Ho Mera Jahaan Aur Jaha Kya Hai Mera,
Tum Ho Mere Dil Ki Ibaadat...Aur Meri Khudayi Ho Tum..!!!

AVTAR RAYAT Avi

***Tere Bin Kya Hai Zindagi Sanam***

Tere Bin Kya Hai Zindagi Sanam,
Aa Bhi Jao Tumhe Meri Kasam,

Intezaar Mein Beete Kitne Lamhe,
Chand Bhi Ho Gaya Madham-Madham,

Raat Bhar Ki Jaagi Hain Aankhein,
Palkon Par Ab Ruki Hai Shabnam,

Aawaaz Dete Hein Dil Ke Zakham,
Tera Pyar Hi Hai Mera Marrhum,

Din-Raat Hai Bas Tanhayi Ka Dard
Yeh Kaisi Ghutan Ye Kaisa Gum,

Ho Wajood Mein Ho Rooh Mein Meri,
Jo Tu Nahi To Na Hum Hein Hum...

Tere Bin Kya Hai Zindagi Sanam
Aa Bhi Jao Tumhe Meri Kasam,..


Aa Bhi Jao Tumhe Meri Kasam,..!!!

AVTAR RAYAT Avi

***Gar Na Sambhali Mohabbat Jo Bikhar Jayegi***

Aye Jaan...

Zulf Bikhar Gayi To Sanwar Bhi Jaayegi...

Gar Na Sambhali Mohabbat Jo Bikhar Jayegi,
Thaam Lijiye Haath Us Ka Jo Pyar Kare Aap Se,
Ye Zindagi Thahregi Nahi...Guzar Jayegi...!!!


AVTAR RAYAT Avi

***Aapka Diya Konsa Dard Hai Jo Dil Ne Saha Nahi***

Aye Jaan...
Aapka Diya Konsa Dard Hai Jo Dil Ne Saha Nahi,
Lekin Aapse Kabhi Aaj Tak Humne Kaha Nahi,

Aapko Paane Se Lekar Aapko Khone Tak,
Khushion Ka Khazaana Kuchh Bacha Nahi,

Pehle Bhi Tanha The..Ab Phir Tanha Hein,
Ab Aapko Batyaane Layak Kuchh Raha Nahi,

Tanha Huye...Sabhi Dard Dil Mein Chhipa Liye
Magar Aapke Samne Ek Bhi Lafz Humne Kaha Nahi...
O Be Dard...
Aapke Samne Ek Bhi Lafz Humne Kaha Nahi...!!!
!!!

AVTAR RAYAT Avi

***Aye Husan Wale...Apne Chehre Se Jara Parda To Hata***

Aye Husan Wale...
Apne Chehre Se Jara Parda To Hata,

Diwaane Hein Aapki Chahat Ke
Jara Humein Husan Ka Jaam To Pila,

Madhosh Ho Jaana Chahte Hein
Humein Apne Chehre Ki Ek Jhalak To Dhikla,

Dil Bhi Aapka Dekhna Chahte Hein Aaj,
Jara Nazaro Se Nazar To Mila...

Aye Husan Wale Apne Chehre Se
Jara Parda To Hata...!!!

AVTAR RAYAT Avi

***Baithe Raheinge Raat Bhar***


Aye Jaan...
Baithe Raheinge Raat Bhar...
Aapke Ghar Ke Saamne
Ab Deinge Yahi'n Jaan..
Aapke Ghar Ke Saamne,

Aapke Father Bahut Adial Hein...
Ye Pata Hai Humein,
Hum Bhi Datay Raheinge...
Aapke Ghar Ke Saamne,

Bahut Gaalia Sunege...
Beda Gark Bhi Hoga,
Phir Bhi Besharmi Dikhaayeinge...
Aapke Ghar Ke Saamne,

Pade Likhe To Hein...
Bolna Bhi Aata Hai,
Lekin Khub Draame Kareinge...
Aapke Ghar Ke Saamne,

Sach Hai..Thoda Darte Bhi Hein Hum,
Par Bhaagege Nahi...

Chahe Pad Jaayein Joote...
Aapke Ghar Ke Saamne...


O Meri Fuljhadi...
Chahe Pad Jaayein Joote...
Aapke Ghar Ke Saamne...!!!

AVTAR RAYAT AVI

*** Bhool Kar Dunia Aapki Baaho'n Mein Sama Kar***

Aye Jaan..

Bhool Kar Dunia Aapki Baaho'n Mein Sama Kar,
Har Pareshani Har Gam Bhulaana Chaahte Hein,


Chahat Thi Dunia Ki Nazro'n Se Hum Chhup Kar,
Sirf Aapki Hi Panaah Mein Rehna Chaahte Hein,

Aapki Dhadkano Ko Apni Dhadkan Bana Kar,
Apni Saanso'n Mein Sama Lena Chahte Hein,


Lipat Kar Aur Aapke Seene Pe Sar Rakh Kar,
Aapke Pyar Ki Aag Mein Jal Jaana Chahte Hein,

Bhoolna Chaahte Hein Sab Kuchh Aapke Siwa,
Bas Aapke Kareeb Har Waqt Rehna Chahte Hein

O Meri Jaana...
Bhool Kar Dunia Aapki Baaho'n Mein Sama Kar,
Har Pareshani Har Gam Bhulaana Chaahte Hein...!!!

AVTAR RAYAT Avi

***Chingaario'n Ka Khauf Na Dijiye Humein***

Suniye...

Chingaario'n Ka...
Khauf Na Dijiye Humein,
Apne Dil Mein...

Aag Ka Daria Basaaye Baithe Hein,
Hum To Kab Ke Jal Jaate...

Is Aag Mein Aye Jaan...
Par Aapke Didaar Ki Khaatir...
Is Dil Ko Sambhaale Baithe Hein...!!!

AVTAR RAYAT Avi

***Deewana Hein Aapke...Ye Iqraar Karte Hein***

Deewana Hein Aapke...Ye Iqraar Karte Hein,
Kaise Kahein Aapse...Kitna Pyar Karte Hein,

Hai Chaaro Taraf Apne...Dunia Ki Bandishein,
Isliye Hum Chhup-Chhup Ke...Izhaar Karte Hein,

Adaayein Hein Bholi...Ye Sab Aap Samjhate Hein,,
Aapko Ye Bhi Pata Hai...Aapse Kitni Mohabat Karte Hein,

Aapke Husn Ki Sokhiyon Ne...Humein Kab Ka Loot Liya,
Aapki Yaadon Mein...Khud Ko Beqaraar Karte Hein,

Hai Ishq Aisa Marz Jo...Chhipaaye Nahi Chhipta Kabhi,
Isliye Nazare Chura Ker...Aapka Deedaar Karte Hein...!!!
Aye Jaan...
Isliye Nazare Chura Ker...Aapka Deedaar Karte Hein...!!!

AVTAR RAYAT Avi

***Ab Soch Liya Aapse...Hum Juda Ho Hi Jayeinge***

Suniye...

Ab Soch Liya Aapse...Hum Juda Ho Hi Jayeinge,
Seh Liye Dukh Bade...Ab Dil Ko Na Tadpaayeinge,
Na Dena Awaaz...Aapko Kasam Hai Humari,
Pehle Gaye The Ruk...Ab Laut Ke Na Aayeinge,

Kayi Baatein Adhoori...Aise Hi Chhod Jaayeinge,
Apne Dil Ka Dard Kabhi..Na Aapko Sunaayeinge,
Sochna Bas Bewafa...Daga De Gaye Humein
Hum Bhi Apni Safaayi Mein...Na Kuchh Kehne Aayeinge,

Jaan Se Bhi Jiyaada Chaha...Kaun Aise Chaaheinge
Nafratein Bhi Aapki...Na Koyi Seh Paayeinge,
Logon Par Tha Aapko...Humse Jiyada Hi Yakeen,
Ab Logon Ko Bhala...Hum Kaise Samjhaayeinge,

Aapki Yaadon Ke Sang...Is Jeewan Ko Bitaayeinge,
Thoda Sa To Yaad Hum...Aapko Bhi Aayeinge,
Bas Yaad Karke Humein..Aap Aansoo Na Bahaana,
Ab Ki Baar Un Motion Ko...Hum Chun.ne Nahi Aayeinge...
O Bhoolne Waale...
Ab Ki Baar Un Motion Ko...Hum Chun.ne Nahi Aayeinge...!!!

AVTAR RAYAT Avi

***Jeeyo Is Andaaz Se***

Aye Dost...
Jeeyo Is Andaaz Se,
Ke Zindagi Kam Pad Jaaye,
Hanso Bhi Kuchh Aise Ke,
Rona Mushkil Ho Jaaye,
Apni Chahat Ko Paana,
Gar Lage Kismat Ki baat To...
Use Chaaho Itna Ke Khuda,
Use Dene Pe Mazboor Ho Jaaye...!!!

AVTAR RAYAT Avi

***Prindon Ko Nahi Di Jaati***

Aye Dost...
Prindon Ko Nahi Di Jaati,
Taaleem Kabhi Udaan Ki.
Wo Khud Hi Teh Karte Hein,
Manzilein Aasmaan Ki,
Rakhte Hein Jo Hausla,
Aasmaan Ko Chhoone Ka,
Use Nahi Hoti Parvaah,
Kabhi Neeche Gir Jaane Ki...!!!

AVTAR RAYAT Avi

Wednesday, August 14, 2013

***Happy Independence Day***

Dosto...

Watan Humara..Misaal Mohabat Ki,
Tode Hai Sada..Ye Dewaar Nafrat Ki,
Hai Ye Humari..Dosto Khush Naseebi...
Jo Mili Zindagi..Is Chaman Mein,
Bhula Na Sakein..Iski Khushboo Ko,
Hum Saaton Janam Mein...!!!

*Happy Independence Day*

AVTAR RAYAT Avi

Friday, August 9, 2013

***Aapse Ho Nahi Sakte Ab Juda***

O Jaan...

Hum Dunia Se Anjaan The,
Is Mohabat Mein Nadaan The
Haqikat Mein Aapne Badal Diya,
Warna Khoye Huye Aasmaan The,

Humari Zindagi Gulistan Ki
Pehle Lagti Thi Bejaan Si,
Aap Aaye Jiwan Mehak Utha
Warna Pehle Registaan The,

Aap Le Aaye Sitaron Mein
In Rang Birangi Baharo Mein
Sach..Aap Hi Ho Mere Khuda,

Aapse Ho Nahi Sakte Ab Juda...
O Jaana...
Aapse Ho Nahi Sakte Ab Juda...!!!

AVTAR RAYAT Avi

Wednesday, August 7, 2013

***Meri Zindagi Teri Baahon Mein Hai***

O Jaan Meri...Zara Thehar Jaayo,
Meri Zindagi..Teri Baahon Mein Hai,
Ye Jism Hai..Zamee'n Pe Mera...
Meri Rooh..In Hawaayo'n Mein Hai,

Tumhein Dekhein..Ya In Wadiyan Ko...
Ya Dekhein..Husn-o-Shabab Tera,
Tujh Mein Hai Wo Sab..O Mere Sanam...
Jo Nahi....In Fizaayon Mein Hai,

O Jaana...
Tujh Mein Hai Wo Sab..O Mere Khuda,
Jo Nahi....In Fizaayon Mein Hai,..!!!

AVTAR RAYAT Avi