Friday, July 1, 2011

***Saza***

Yu Na Mil Mujhse Khafa Ho Kar,
Saath Chal Mere Ho Hawa Jaise
Log Yu Dekh Kar Hans Dete Hein
Sada Ke Liye Bhool Gaya Ho Jaise,

Ishq Ko Tu Itni Had Tak Na Badha,
Aur Humse Yu Na Mil Ho Khuda Jaise,
Maut Bhi Aaye Jo Iss Naaz Ke Saath,
Mujh Pe Bada Ehsaan Ho Kiya Jaise,

Aise Kyo Anjaan Ho Bane Baithe,
Tume Kuchh Bhi Na Ho Pata Jaise,
Hichkian Raat Ko Aati Hi Rahi,
Tune Phir Se Yaad Ho Kiya Jaise,

Zindagi Beet Rahi Is Tarah Se Ab To...
Ek Be-jurm Mili Ho Sazaa Jaise...!!!

AVTAR RAYAT

***ON FATHERs DAY***

**Ek Beti Ka Pyar Papa Ke Liye**

Aap Se Hai Meri Pehchan Papa,
Dunia Me Sabse Ho Mahaan Papa
Rehne Ko Hai Beshaq Pyara Sa Ghar...
Par Mere Ho Aap Aasman Papa,

Laadli Hoon Bachpan Se Tumhari,
Har Cheez Ke Liye Zid Karti Thi,
Jhooth-Mooth Bahut Baar Roya Tha,
Bhukhe Rehne Se Nahi Darti Thi,

Mujhe Aise Rote Huye Dekhkar,
Aap Bhi Pighal Jaya Karte The,
Agle Din Ka Mujhse Wada Karke,
Wo Cheez Le Aaya Karte The.

Yaad Bahut Bachpan Aata Hai,
Jab Ungli Pakad Chalna Tha Sikhya,
Jab Bhi Ab Koyi Mushkil Aan Padi
Aapki Di Shiksha Se Sab Suljhaya,

Aaj Bhi Jab Yaad Aata Hai,
Mujhe Meri Bidaayi Ka Wo Din,
Main Sochti Hu Kaise Rahugi,
Naye Shehar Mein Papa Aapke Bin,

Aap To Ho Mere Dil Mein Sada,
Mujhe Bhi Dil Mein Abaad Rakhna,
Ye Shehar Kya Door Karega Aapse,
Laadli Apni Ko Bas Yaad Rakhna,

Ji Chahta Hai O Mere Pyare Papa
Apna Har-Din Aapke Naam Kar Du,
Chhaya Mein Rahu Main Sada Aapki,
Aap Par Har Khushi Kurbaan Kar Du...!!!

AVTAR RAYAT